Taziyane Shimr Ke – Hasan Sadiq 1997-98

Taziyane Shimr Ke Aur Naa Tawaa’n Sajjad Hai


اردو | English



ہاۓ سَجّاد، ہاۓ سَجّاد (۲)
ہاۓ سَجّاد، ہاۓ سَجّاد (۲)


تازیانے شِمر کے اور ناتواں سَجّاد ہے

پھر بھی لے کر چل رہا (۲)، سنگ کارواں سَجّاد ہے


تازیانے شمر کے اور ۔۔۔


دینِ طاہر، عِلم حیدَر، عِصمَتِ آلِ رَسول (۲)

اور قُرانِ خُدا، کا پاسباں سَجّاد ہے

پھر بھی لے کر چل رہا (۲) سنگ کارواں سَجّاد ہے

ہاۓ سَجّاد، ہاۓ سَجّاد (۲)

تازیانے شِمر کے اور ناتواں سَجّاد ہے


اِس قَدر رونا لہو کا، کرتا ہے ظاہر یہی (۲)

آلِ احمَد کے، مَصائب کا قراں سَجّاد ہے

پھر بھی لے کر چل رہا (۲) سنگ کارواں سَجّاد ہے

ہاۓ سَجّاد، ہاۓ سَجّاد (۲)

تازیانے شِمر کے اور ناتواں سَجّاد ہے


جِس طرح ہے اِس زمیں پر، آسماں سایہ فِگن (۲)

اُس طرح ہی دیں کے سر، پر سائباں سَجّاد ہے

پھر بھی لے کر چل رہا (۲) سنگ کارواں سَجّاد ہے

ہاۓ سَجّاد، ہاۓ سَجّاد (۲)

تازیانے شِمر کے اور ناتواں سَجّاد ہے


پاس رکھ کر کُچھ کہا نہ، قاتلِ اکبَر کو بھی (۲)

دیکھو کتنا ہی رحم، دل مہرباں سَجّاد ہے

پھر بھی لے کر چل رہا (۲) سنگ کارواں سَجّاد ہے

ہاۓ سَجّاد، ہاۓ سَجّاد (۲)

تازیانے شِمر کے اور ناتواں سَجّاد ہے


خَتم ہو سکتی نہیں جو، حَشر تک بھی اۓ امیرؔ

درد و غَم کی ایک ایسی داستاں سَجّاد ہے

پھر بھی لے کر چل رہا (۲) سنگ کارواں سَجّاد ہے

ہاۓ سَجّاد، ہاۓ سَجّاد (۲)

تازیانے شِمر کے اور ناتواں سَجّاد ہے

Haaye Sajjad Haaye Sajjad (x2)
Haaye Sajjad Haaye Sajjad (x2)

Taziyane shimr ke aur naa tawaa’n Sajjad hai (x2)
Phir bhi le kar chal raha, sang kaarwa’n Sajjad hai

Haaye Sajjad Haaye Sajjad (x2)
Haaye Sajjad Haaye Sajjad (x2)

Taziyane shimr ke …


Deen e taahir, ilm e Haider, Ismat e Aal e Rasool (x2)
Aur Quran e Khuda, ka paasba’n Sajjad Hai
Phir bhi le kar chal raha (x2) sang kaarwa’n Sajjad hai
Haaye Sajjad Haaye Sajjad (x2)

Taziyane shimr ke …


Is kadar rona lahu ka, karta hai zaahir yehi (x2)
Aal e Ahmed ke, masaayib ka qura’n Sajjad hai
Phir bhi le kar chal raha (x2) sang kaarwa’n Sajjad hai
Haaye Sajjad Haaye Sajjad (x2)

Taziyane shimr ke …

Jis tarhan hai is zamee’n par, aasma’n saya figan (x2)
Us tarhan hee dee’n ke sar, par saaibaa’n Sajjad hai
Phir bhi le kar chal raha (x2) sang kaarwa’n Sajjad hai
Haaye Sajjad Haaye Sajjad (x2)

Taziyane shimr ke …

Pass rakh kar kuch kaha na, qaatil e Akbar ko bhi (x2)
Dekho kitna hi reham, dil meharbaa’n Sajjad hai
Phir bhi le kar chal raha (x2) sang kaarwa’n Sajjad hai
Haaye Sajjad Haaye Sajjad (x2)

Taziyane shimr ke …

Khatm ho sakti nahi jo, hashr tak bhi aye Ameer (x2)
Dard o gham ki aik, aisi daasta’n Sajjad hai
Phir bhi le kar chal raha (x2) sang kaarwa’n Sajjad hai
Haaye Sajjad Haaye Sajjad (x2)

Taziyane shimr ke …


Check out other nohas from Hasan Sadiq here:
http://3.26.224.92/category/noha/hasan-sadiq/

Check our Hasan Sadiq’s official Youtube Channel:
https://www.youtube.com/hassansadiqofficial

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Sahifa Theme License is not validated, Go to the theme options page to validate the license, You need a single license for each domain name.