Jab Imam Aayenge – Ustad Syed Sibt-e-Jafar Zaidi

Haal-e-gham sunaenge Jab Imam Aayenge

Zakhm-e-dil dikhaenge Jab Imam Aayenge
Mehfilain jamaaenge Jab Imam Aayenge
Bam-o-dar sajaenge Jab Imam Aayenge
Jashn Hum manaenge Jab Imam Ayenge

Zakhm hain abhi taaza makka aur madeena ke
Shaam-o-kufa karbobala hum bhula nahi sakte
Az sakeefa taayin dam ghair se nahi pohnche
Jitne dukh uthaae hain hum ne kalma goyoan se
Aik ik chukaaenge…..x2

Shaq hai jin ko Allah ke adl aur adaalat par
Mansab-e-nubuwwat par sayyada ki ismat par
Murtaza ki Ahmed se muttasil niyabat par
Jin ko shaq hai baara par baarwain ki ghaibat par
Sab hi maar khaaenge…..x2

Naam par sahaaba ke kaam kafiroan jaise
Naam par sahaaba ke kaam faasiqoan jaise
Naam par sahaaba ke kaam munkiroan jaise
Naam par sahaba ke kaam mushriqoan jaise
Sab hi mooh churaaenge…..x2

Daawa-e-muhabbat jo subh-o-shaam karte hain
Unke dushmanoan se bhi raah-o-rasm rakhte hain
Khums bhi nahi dete gheebatein bhi karte hain
Mominoan se bhi dil main bughz-o-keena rakhte hain
Kis tarhan nibhaaenge…..x2

Jhoot bolne ko hum mashgala samajhte hain
Baat baat par be jaa maslehat barat te hain
Aur munafiqat ko bhi maslehat hi kehte hain
Lehb-o-laab ka samaan hum gharoan main rakhte hain
Kis tarhan chupaaenge…..x2

Naimat-e-shariyyat ko bojh hi samajhte hain
Lahb-o-laab hi ko hum zindagi samajhte hain
Sahibaan-e-zar ko bada aadmi samajhte hain
Tang dast momin ko bas yunhi samajhte hain
Kya muqaam paaenge…..x2

Ye hamaare makr-o-riya shatirana ayyari
Kya hamaare saom-o-salaat aur yeh azadari
Kitna hai khuloos in mein kis kadar riya kari
Kya imaam ki khatir hum ne ki hai tayyari
Kaise mooh dikhaaenge…..x2

Al ajal jo kehte hain aa gae to kya hoga
Kya hai apni tayyari pesh hum karenge kya
Sibt-e-Jafar apna to kul yehi hai sarmaaya
Humd-o-naat-o-soz-o-salaam aur manqabat nauha
Hum yehi sunaaenge…..x2

Jab Imam Aayenge…..

Check out other kalaams by Shaheed Ustad Sibt e Jafar Zaidi sahab:
https://www.abulhasanlakhani.com/tag/shaheed-sibt-e-jafar/

Check Also

Mola Ab Aa Bhi Jaayain - Sibt-e-Jafar

Mola Ab Aa Bhi Jaayain – Sibt-e-Jafar

Mola ab aa bhi jaayain kab se bula rahay hain. Jaur-o-sitam jahaa’n ke badhtay hi …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.