Jo Ishq e Muhammad Ka – Gohar Jarchvi 2012

Jo Ishq e Muhammad Ka Talabgaar Nahi Hai



جو عشقِ مُحَمَّد کا طَلَبگار نہیں ہے

ہرگِز وہ بشَر صاحبِ کِردار نہیں ہے

جو عشقِ مُحَمَّد کا طَلَبگار نہیں ہے

انسان صحیح صاحبِ کِردار نہیں ہے


سودا ہے دِلوں کا یہاں چِہرے نہ سَن٘وارو

یہ شہرِ نبی مصر کا بازار نہیں ہے


ہم کو تو قیامت میں بچا لینگے مُحَمَّد

وہ لوگ ڈریں جِن کا مَدَدگار نہیں ہے


ہرگز نہ سمجھ پائیگا آزادی کا مطلب

جو شخص غُلامِ شَہِ ابرار نہیں ہے


جو آلِ مُحَمَّد سے مُحَبَّت نہیں کرتا

وہ شخص مُحَمَّد کا وفادار نہیں ہے


خُشنودیءِ آقا کے طَلَبگار ہیں ہم لوگ

جَنَّت سے ہمیں کوئ سروکار نہیں ہے


کہتے ہیں اُسے بضمِ مُحِبّانِ مُحَمَّد

جِس باغ میں سب گُل ہیں کوئ خار نہیں ہے


خُوش اُس سے رسولِ دو سَرا ہو نہیں سکتے

جو اُن کے نواسے کا عزادار نہیں ہے


واں بُغضِ مُحَمَّد کی سزا روز ملے گی

وہ پُل کے ادَب ہیں وہاں اِتوار نہیں ہے


گوہرؔ تیرے اشعار یہ دیتے ہیں گواہی

تجھ جیسا کوئ اور قَلَمکار نہیں ہے

Jo ishq e Muhammad ka talabgaar nahi hai
Hargiz wo bashar saahib e kirdaar nahi hai

Jo ishq e Muhammad ka talabgaar nahi hai
Insaan sahi saahib e kirdaar nahi hai

Sauda hai dilo ka yahan chehray na sanwaaro
Ye shehr e Nabi misr ka baazaar nahi hai

Jo ishq e Muhammad ka…

Hum ko to qayamat mei bacha leinge Muhammad
Wo log darein jin ka madadgaar nahi hai

Hargiz na samajh paayega Aazadi ka matlab
Jo shakhs ghulam e shah e abraar nahi hai

Jo ishq e Muhammad ka…

Jo Aal e Muhammad se muhabbat nahi karta
Wo shakhs Muhammad ka wafadar nahi hai

Khushnoodi e Aaqa ke talabgaar hain hum log
Jannat se hamein koi sarokaar nahi hai

Jo ishq e Muhammad ka…

Kehtay hain usay bazm e muhibban e Muhammad
Jis baag mei sab gul hain koi khaar nahi hai

Khush us se Rasool e do sara ho nahi saktay
Jo un ke nawaase ka azaadar nahi hai

Jo ishq e Muhammad ka

Waa’n bugz e Muhammad ki saza roz milay gi
Wo pull ke adab hain wahan itwaar nahi hai

Gohar tere ashaar ye detay hain gawahi
Tujh jaisa koi aur kalamkaar nahi hai

Jo ishq e Muhammad ka talabgaar nahi hai
Hargiz wo bashar saahib e kirdaar nahi hai

Check out all the kalaams written by Janab Gohar Jarchvi sahab
http://3.26.224.92/tag/gohar-jarchawi/

Check out one of the best kalaams of Janab Gohar Jarchvi
https://www.youtube.com/watch?v=E8LVWi4s8c4

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Sahifa Theme License is not validated, Go to the theme options page to validate the license, You need a single license for each domain name.