Mujh Mein Un Ki Sana Ka – Syed Fasihuddin

Mujh mein un ki sana ka saleeqa kaha’n.
Wo shah-e-do jaha’n wo kaha’n main kaha’n.

Mujh mein un ki sana ka saleeka kaha’n.
Wo shah-e-do jaha’n wo kaha’n main kaha’n.
Un ka mad’ha sara khaaliq-e-een-o-aa’n.
Wo Rasool-e-Zamaa’n wo kahan main kahan.

1 – Un ke daaman se waabasta meri najaat.
Un pe qurbaan meri hayaat-o-mamaat.
Main gunahgaar wo shaafa-e-aasiyaa’n.
Bekaso’n ki amaa’n wo kaha’n main kaha’n.

2 – Wo Madina nageena hai jo arsh ka.
Wo Madina bharam jo bana farsh ka.
Wo Madina jaha’n rehmat-e-be-karaa’n.
Main bhi pohnchoo’n waha’n wo kaha’n main kaha’n.

3 – Main saraapa adam wo saraapa wujood.
Un pe har dum salaam un pe har dum durood. (x2)
Wo haqeeqat main afsaana-o-daastaa’n.
Un ka main mad’ha khwaan wo kaha’n main kaha’n.

4 – Shak nahi ae Riyaz is mein hargiz zara.
Main saraapa khata wo saraapa ata.
Naam un ka rahay kyun na wird-e-zabaa’n.
Hai jo taskeen-e-jaa’n wo kaha’n main kaha’n.

Mujh mein un ki sana ka saleeqa kaha’n
Wo shah-e-do jaha’n wo kaha’n main kaha’n

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

Sahifa Theme License is not validated, Go to the theme options page to validate the license, You need a single license for each domain name.