Ab Aayay Ho Baba – Izzat Lakhnawi 1950-60 (Roughly)

Ab Aayay Ho Baba

Wo karbala wo sham-e-ghariban wo teeragi.
Wo Zainab-e-hazeen wo hifazat Khayam ki.
Aaya wo ek sawaar kareeb-e-Khayam-e-Shah.
Beti Ali ki ghaiz mein su-e-faras badhi.
Ulti naqaab chehray se apnay sawaar ne.
Paish-e-nigaah-e-Zainab-e-mazloom thay Ali.
Har chand saabira thi bohat bint-e-Fatima.
Be saakhta zubaan pa ye faryaad aagayi.
Zainab ne kaha baap ke qadmon se lipat kar.
Ab aayay ho baba.

Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar (x2).
Ab aayay ho baba.

1. Baba agar aana hi tha khaaliq ki riza se.
Us waqt na aaye.
Jab khaak pa dam tod raha tha mera Akbar (x2).
Ab aaye ho…

2. Kat kat ke giray nehr pa jab baazu-e-Abbas.
Aur koi na tha paas.
Us waqt sada aap ko deta tha Dilaawar (x2).
Ab aaye ho…

3. Jab farsh-e-zameen baam-e-falak larza baja thay.
Us waqt kahan thay.
Jab baap ke chullu mein tha khoon-e-Ali Asghar (x2).
Ab aaye ho…

4. Jab bhai ka sar kat-ta tha main dekh rahi thi.
Hazrat ko sada di.
Sar kholay huay roti thi main khaimay ke dar par (x2).
Ab aaye ho…

5. Jab log bacha le gaye laashay shohada ke.
Haq apna jata ke.
Bas ek tan-e-shabbir tha pamaali ki zad par (x2).
Ab aaye ho…

6. Jab bali Sakina ke gohar cheenay gaye thay.
Lagtay thay tamachay.
Hasrat se mujhe dekhti thi Banu-e-muztar (x2).
Ab aaye ho…

7. Jab shaam ke kazzak hamain loot rahay thay.
Khaimoan ko jala ke.
Aap aa gaye hotay to na chinti meri chaadar (x2).
Ab aaye ho…

8. Kya aap ne firdaus se ye dekha na hoga.
Kya hashr bapa tha.
Jab pusht se bemaar ki khencha gaya bistar (x2).
Ab aaye ho…

9. Ek raat ke mehmaan hai phir qaid-e-salaasil.
Ab aanay se haasil.
Bazaar mein hum subh ko jaayenge khulay sar (x2).
Ab aaye ho…

10. Shahid rukh-e-Hyder pa bikhar jaatay thay aansu.
Jab khol ke gaysu.
Chillati thi Zainab mere baba meri chaadar (x2).
Ab aaye ho (x2).

Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar (x2).
Ab aayay ho baba.

Zainab ne kaha baap ke qadmon se lipat kar.
Ab aayay ho baba.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.