Abbas Mera Naam Hai – Syed Irfan Haider 2006-07

Abbas mera naam hai. Shaamiyon pehchaan lo.

Abbas jo aaye darya par.
Maujo’n mein utha ik shor udhar.
Chehray ki jalaalat kehti thi.
Rakh dega ulat kar ye lashkar.

Ya Abbas Ya Abbas.

Abbas ye bolay lashkar se.
Paayi hai shuja’at Haider se.
Main nehar utha le jaaonga.
Ye dars liya hai Khyber se.

Ya Abbas Ya Abbas.

Main Sher-e-Khuda ka hoon beta.
Thokar mein meri hai ye darya.
Hoon baali Sakeena ka saqqa.
Rokay na koi mera rasta.

Ya Abbas Ya Abbas

Abbas mera naam hai.
Shaamiyon pehchaan lo.
Abbas mera naam hai.

Main hoon saqqa-e-haram.
Saqqaayi mera kaam hai.
Ya Abbas Ya Abbas.
Abbas mera naam hai

Fauj ka saalaar hoon. Azm ki deewaar hoon.
Paikar-e-isaar hoon. Haidari kirdaar hoon (x2).
Dosh par dee’n ka alam. Dil mein hai pyaaso’n ka gham.
Ya Abbas Ya Abbas.

Abbas mera…

Badhti fojain rok doon. Darya ki mojain rok doon.
Main agar hamla karoon. Dozakh mein sab ko jhonk doon (x2).
Hoon Shehanshah-e-wafa. Kufr ke sar par kaza.
Ya Abbas Ya Abbas.

Abbas mera…

Ain hai Ain-e-Ali. Be bahadur baap ki.
Hai Alif ism-e-jalee. Seen hai Sajjad ki (x2).
Ik dil-e-hassaas hoon. Is liye Abbas hoon.
Ya Abbas Ya Abbas.

Abbas mera…

Main baraaye Karbala. Fatima ki hoon duaa.
Hoon alamdaar-e-wafa. Baap ka parcham mila (x2).
Zaat mein lashkar hoon main. Saani-e-Haider hoon main.
Ya Abbas Ya Abbas.

Abbas mera…

Jang to ik khel hai. Mat ulajh Abbas se.
Ye khabar bhi hai tujhe. Muztarib hoon pyaas se (x2).
Zabt karna hai mujhe. Mashq bharna hai mujhe.
Ya Abbas Ya Abbas.

Abbas mera…

Al garaz qabza hua. Nehar par Abbas ka.
Pehlay mashqeeza bhara. Phir su-e-khaima chala (x2).
Goonjti thi naaraaey. Abbas-e-Ghazi se faza.
Ya Abbas Ya Abbas.

Abbas mera…

Jhuk gayi Sheh ki kamar. Jab suni gham ki khabar.
Lashaa-e-Abbas par. Shabbir pohnchay noha gar (x2).
Kehtay thay bhai zara. Ik baar phir se do sada.
Ya Abbas Ya Abbas.

Abbas mera…

Rok ab apna qalam. Ho gaya noha rakam.
Badh chuka hai hadh se gham. Aankh hai Rehan nam (x2).
Goonjti hai naaraaey. Abbas se bazm-e-azaa.

Ya Abbas Ya Abbas

Check out other noha’s by Syed Irfan Haider:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/syed-irfan-haider-rizvi/

Check out Syed Irfan Haider’s YouTube Channel
https://www.youtube.com/irfanhaider

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.