Abbas Pani Lao (Noha) – Ali Zia Rizvi 1980s

Abbas Pani Lao

Zainab ye ro ke boli bhayya na dil dukhao
Kya deir ka sabab hai ye to hamein batao
Mashkeeza bhar ke jaldi darya se laut aao
Bachhi ki tashnagi ko tum aa ke khud bujhao
Abbas Abbas Abbas pani lao…

Wo ghamzada yakeenan yaadon mein kho gayi hai
Baba ko rotay rotay khud thak ke so gayi hai
Ya tashnalab Sakina be hosh ho gayi hai
Pani ka de ke chheenta tum hi usay jagao
Abbas Abbas Abbas pani…

Haathon mein khaali koozay bachhay liye huay hain
Gird e Sakina dekho halqa kiye huay hain
Bachhay na jaanay kab ka paani piye huay hain
Bin aab mar na jaayein pani unhein pilaao
Abbas Abbas Abbas pani…

Is be kasi pa haaye aata hai mujh ko rona
Purhowl hai andhera aur khaak ka bichona
Seenay pe sonay waali kya janay aisay sona
Pyaasi hai muztarib hai aa kar isay sulaao
Abbas Abbas Abbas pani…

Kaano mein al-atash ki awaaz aa rahi hai
Aur us pe fauj e aada ye zulm dha rahi hai
Un ko dikha dikha kar paani baha rahi hai
Bachhay hain Sheh ke pyasay aada ko ye batao
Abbas Abbas Abbas pani..

Ulfat ki aag dil mein paiham lagi hui hai
Roza tumhara dekhein ye hasrat e dili hai
Zaayir banay tumhara ye khwahish e zaki hai
Aankhon ki tishnagi ko tum deed se bujhao
Abbas Abbas Abbas pani lao

Check out other Noha from Ali Zia Rizvi:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/ali-zia-rizvi/

Anjuman-e-Ghamkhwaran-e-Abbas’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/channel/UC08jwm0R5_cMXCXrGQEZNCw

Check Also

Nala ba lab e Zainab - Ali Zia Rizvi 1987

Nala Ba Lab e Zainab (Noha) – Ali Zia Rizvi 1980s

Nala ba lab e Zainab e lachaar Hussaina Nala ba lab e Zainab e lachaar …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.