Aye Khuda Dast-e-Karam – Nadeem Sarwar 1993-94

Aye Khuda Dast-e-Karam

Yaad-e-Abbas sar-e-shaam-e-ghareeba’n aayad.
Dokhtar-e-Hazrat-e-Shabbir hiraasa’n aayad.

Be kasi kaisi ayaa’n thi ban mein (x2).
Laashay paamaal huay jab ran mein.
Aag Zahra ke lagee gulshan mein.
Yaad-e-Abbas thi aur ahl-e-haram.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).

Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)

Qasim-o-Akbar-o-Abbas koja raftanda.
Haaye dar dasht-e-bala yaad-e-shaheeda’n aayad.
Qasim-o-Akbar-o-Abbas nahi.
Kuch bhi seenay mein bajuz yaas nahi.
Ab to jeenay ki bhi kuch aas nahi.
Saaya afgun nahi Ghaazi ka alam.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).

Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)

Ya kas-e-neest ke aayad pae imdaad-e haram.
Eii safeena taraf-e-yurish-e-tufaan aayad.
Koi imdaad ko aayay kyun kar.
Kat gayay Akbar-o-Abbas ke sar.
Gham ka tufaan hai aur yaad-e-padar.
Char jaanib se badhay ranj-o-alam.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).

Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)

Saaylee-e-shimr ba rokhsar-e-Sakina sad haif.
Chuba zulm-o-sitama dushman-e-imaa’n aayad.
Haaye wo phool se rukhsaar teray.
Shimr ne jis pe tamanchay maaray.
Neel rukhsaar ke dekhay na gayay.
Roya naizay pe sar-e-Shaah-e-umam.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).

Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)

Haifa aalam-e-ghurbat ke Sakina giryaan.
Yaad-e-Altaaf-e-padar baa gham-o-hirma aayad.
Dasht-e-ghurbat mein Sakina ki fugaan.
Baba dass-ta hai andhera zindaan.
Jald aao ke nikal jaaye na jaan.
Aap ki yaad mein mar jaayenge hum.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).

Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)

Mee kashad naala ze hasrat sar-e-darbaar-e-yazeed.
Be muhabaana khayaal-e-dar-e-zindaan aayad.
Sar-e-darbaar fugaa Zainab ki.
Qaid kufay mein hui bint-e-Ali.
Lahad-e-Shaah-e-najaf hilnay lagee.
Ashk Zainab ke jo barsay paiyhum.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).

Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)

Tohfa-e-ashq-e-azaa peish konam mann ba khuloos.
Aah eii noha-e-gham bar lab-e-Rehaan aayad.
Hai bhi kya Sarwar-o-Rehaan ke paass.
In ki daulat hai yehi gham ki asaas.
Aap ki nazr janaab-e-Abbas.
Aik aawaz hai aur aik kalam.
Aye Khuda… (x3).

Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)

Check out other Noha from Syed Nadeem Raza Sarwar:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/nadeem-sarwar/

Nadeem Sarwar’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/user/syednadeemsarwar

Check Also

Shabbir Agar Teri - Nadeem Sarwar 1997-98

Shabbir Agar Teri – Nadeem Sarwar 1997-98

Shabbir Agar Teri (Na dil rota na gham hotaNa aisa kaheen maatam hota) x2 Shabbir …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.