Fatima Jis Se Ho Khush – Shadman Raza

Fatima Jis Se Ho Khush – Shadman Raza

Aftaab-e-falak-e-izz-o-sharafat Zehra (x2).
Naaz Quran ko hai jis par woh taharat Zehra.
Hai najabat bhi sayadat bhi karamat Zehra.
Khud shariyyat ne kaha meri shariyyat Zehra.
Arsh-e-Maabood ruka hai nazar-e-Zehra par.
Sar-e-Jibreel bhi jhukta hai dar-e-Zehra par.

Haan isi dar se to ummat ne shariyyat paayi.
Jis se hai duur gumaan aisi haqeekat paayi.
Nasl-e-kurba bhi ye kehlaayi sayadat paayi.
Nakhl-e-Zehra ne ajab fasl ki nemat paayi.
Nemat aisi ke isay tohfa-e-Rehman kahain.
Haq ki ayaat jisay Lulu-o-Marjaan kahain.

Maadar-e-Lulu-o-Marjaan janab-e-Zehra.
Haq ka Ahmed pe hai ehsaan janab-e-Zehra.
Jin pe saaya karay Quran janab-e-Zehra.
Kull-e-Imaan ka imaan janab-e-Zehra.
Hai Khadija-o-Muhammad ki dil-o-jaan Batool.
Abu Talib ki bahu deen ki pehchaan Batool.

Nukta-e-khatt-e-imamat hui zaat-e-Zehra.
Shah-e-saahib-e-Kausain hayaat-e-Zehra.
Mazhar-e-noor ala noor sifaat-e-Zehra.
Khalq par rizk-e-musalsal hai zakat-e-Zehra.
Khalq par band agar ye dar-e-Zehra ho jaaye.
Ronak-e-Kaun-o-makaan kehat ka sehra ho jaaye.

Aql-e-Hawwa ki kasam aql ka jauhar hai Batool.
Husn-e-Sara ki kasam noor ka jhoomar hai Batool.
Umm-e-Musa ki kasam sabr ka langar hai Batool.
Sibt-e-Maryam ki kasam taahir-o-athar hai Batool.
Inhin aasaf-e-hameeda ka nateeja hai yehi.
Aur aakhir mein jo dekho to Khadija hai yehi.

Khidmat-e-Madar-e-Zehra mein taharat ka salaam.
Kabl-e-besat ki dua baad-e-risaalat ka salaam.
Teri seerat ke liye hurmat-e-riffat ka salaam.
Nasl-e-ashraf ki najaabat ka sakhawat ka salaam.
Tere dar par bhi to sidra ka makaam aata hai.
Roz jibreel yahan le ke salaam aata hai.

Mehwar-o-maalik-o-makhdooma-e-tatheer Batool.
Hal ata Kausar-o-wal fajr ki tafseer Batool.
Ahd-e-Ahmed mein had-e-kadr ki takdeer Batool.
Loh-e-mehfooz pe likhi hui tehreer Batool.
Fakhr-e-Mabood hai ik aik adaa-e-Zehra.
Aaj tak karta hai Quran sana-e-Zehra.

In ke ghar mein kabhi firdos se joda utra.
Padh ke wan-najm kabhi arsh se taara utra.
Shukr ke saath kabhi dehr ka sura utra.
Aik sura hi nahi poora sahifa utra.
Gazab-e-haq ka sabab gair se naraazi hai.
Fatima jis se ho khush us se Khuda raazi hai.

Fatima naar-e-jahannum se bachanay waali.
Fatima qaid-e-museebat se chudaanay waali.
Fatima dehr mein ismat ke gharanay waali.
Fatima qasr-e-sitamgaar ko dhaanay waali.
Bint-e-Aadil ne adalat ka bharam khol diya.
Aik khutbay se hukoomat ka bharam khol diya.

Shadman maango dua maatmi sab shaad rahain.
Chahnay walay dar-e-Zehra ke aabaad rahain.
Nasl-e-Zehra ke jo dushman hain woh barbaad rahain.
Majid is bazm mein aqwaal-e-Nabi yaad rahay.
Hubb-e-Zehra main jo mar jaaye shahadat paaye.
Bibi Zehra ke tasadduk mein wo jannat paaye (x2).

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.