Goonj Rahi Hai Ye Sada (Noha) – Ali Zia Rizvi Vol. 1

Goonj Rahi Hai Ye Sada

Goonj rahi hai ye sada Ya Hussain
Tujh ko laeeno ne sataaya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain

Teen shab o roz ka pyaasa Hussain
Dasht e bala mein tujhe maara Hussain
Ya Hussain (x4)

Baiyat e faasik ke talabgaar thay
Zulm o sitam ke liye tayyar thay
Kitne tere sar ke khareedaar thay
Tu ne magar sar na jhukaya Hussain
Ya Hussain (x4)

Bhej ke khat tujh ko bulaaya gaya
Tera watan tujh se chudaaya gaya
Qabr se naana ki hataaya gaya
Paikar e tasleem o raza ya Hussain
Ya Hussain (x4)

Karbobala gheir ke laaye tujhe
Tere azeez o rufaqa saath thay
Nehr se khaimay bhi hataaye gaye
Uzr zara bhi na hua ya Hussain
Ya Hussain (x4)

Dasht mein thodi si jaga mil gayee
Aamad e aada se zamee hil gayee
Aur nazar jab soye saahil gayee
Us pe laeeno ka tha pehra Hussain
Ya Hussain (x4)

Goonj rahi hai ye sada ya Hussain
Tujh ko laeeno ne sataaya Hussain

Kya shab e aashoor ka hungaam tha
Saara jahan larza bar andaam tha
Tujhko ibaadat se faqat kaam tha
Karta raha zikr Khuda ka Hussain
Ya Hussain (x4)

Subh e daham ka ho bhala kya bayaa’n
Denay laga jab tera Akbar azaa’n
Jaisay thi awaaz e Nabi be gumaa’n
Karbobala thi ke Madina Hussain
Ya Hussain (x4)

Goonj rahi hai ye sada ya Hussain
Tujh ko laeeno ne sataaya Hussain

Fauj e Hussaini mein bada josh tha
Tu ne bhi pyaaso’n ko saf aara kiya
Saani e Haider ko alam de diya
Sab ne unhein fakhr se dekha Hussain
Ya Hussain (x4)

Suu e Imam aik namaazi barha
Dil se basad shaan e niyazi barha
Fauj e udoo se Hurr e ghazi barha
Aaa ke kadam-bos hua ya Hussain
Ya Hussain (x4)

Haaye muhibb e shah e aali maqaam
Jin ka Habib Ibn e Mazaahir hai naam
Zainab e dilgeer ne bheja salaam
Tum ne galay un ko lagaaya Hussain
Ya Hussain (x4)

Phir to ajab hashr bapa ho gaya
Aik ke baad aik fida ho gaya
Dekhte hi dekhte kya ho gaya
Ab koi nasir na raha ya Hussain
Ya Hussain (x4)

Saani e Zehra ka bura haal tha
Jab ke tadarruk na koi ban pada
Aun o Muhammad ko fida kar diya
Us pe bhi tu bach na saka ya Hussain
Ya Hussain (x4)

Maadar e Qasim ka jigar dekhiye
Jazba e emaa’n ka asar dekhiye
Bhej diya ran mein pisar dekhiye
Jo hua pamaal e jafa ya Hussain
Ya Hussain (x4)

Hazrat e Abbas bhi marnay chalay
Nehr pa jarraar ke baazu kate
Thaam ke aap apni kamar reh gaye
Ho gayi chup ro ke Sakina Hussain
Ya Hussain (x4)

Ho gaye rukhsat ko Shabih e Rasool
Ab Shah e be kas thay bohat dil maloool
Aayi kaheen se ye sadaaye Batool
Mai’n teri himmat pe fida Ya Hussain
Ya Hussain (x4)

Asghar e besheer pe jaanei’n fida
Khenchay huay teer barha hurmala
Khasta kalaam e Shah e waala hua
Suuay falak aap ne dekha Hussain
Ya Hussain (x4)

Dhal gaya din aur qareeb aayi shaam
Phir to akelay thay Imam e Anaam
De diya sar khatm kiya apna kaam
Deen e Nabi khoob bachaya Hussain
Ya Hussain

Goonj rahi hai ye sada ya Hussain
Tujh ko laeeno ne sataaya Hussain
Ya Hussain (x4)

Goonj rahi hai ye sada ya Hussain

Check out other Noha from Ali Zia Rizvi:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/ali-zia-rizvi/

Anjuman-e-Ghamkhwaran-e-Abbas’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/channel/UC08jwm0R5_cMXCXrGQEZNCw

Check Also

Abbas Pani Lao

Abbas Pani Lao (Noha) – Ali Zia Rizvi 1980s

Abbas Pani Lao Zainab ye ro ke boli bhayya na dil dukhaoKya deir ka sabab …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.