Kya Tha Khuda Ka Deen – Syed Izhar Hussain

Kya tha khuda ka deen isay kya bana diya. (x2)
Shabbir ne mariz maseeha bana diya.

Kya tha khuda ka deen isay kya bana diya.

1 – Samjha raha tha main usay kaisi hai Karbala. (2)
Rizwan ne bahisht ka naqsha bana diya.

Kya tha khuda ka…

2 – Sholay hata ke Abid-e-bekas ki raah se. (2)
Zainab ne no imamoan ka rasta bana diya.

Kya tha khuda ka…

Quran padh rahay thay khitabat ki zid main jo. (2)
Khaliq ne un ki naslon ko andha bana diya.

Kya tha khuda ka…

Jab ye suna ke jaata hai marnay Hussain par. (2)
Maa ne wahab ki phir usay dulha bana diya.

Kya tha khuda ka…

Umm e khitab kyun na kahoon us ki maa ko main. (2)
Jis be zuban ne laakhoan ko goonga bana diya.

Kya tha khuda ka…

John e habash ki qabr ko dekha to keh utha. (2)
Ye kis ne karabala main bhi kaaba bana diya.

Kya tha khuda ka deen isay kya bana diya.

Ye hai ata ke ghar mein takallum ke bawajood. (2)
Sajjad ko bhi shayir e Mola bana diya.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.