Mola Ab Aa Bhi Jaayain – Sibt-e-Jafar

Mola ab aa bhi jaayain kab se bula rahay hain.
Jaur-o-sitam jahaa’n ke badhtay hi ja rahay hain.
Dushman jo aap ke thay hum ko sata rahay hain.
Mola ab aa bhi jaayain…

Ab hadh se badh chukay hain fisk-o-fujoor-o-zulmat.
Har gaam ho rahi hai tauheen-e-Aadmiyyat.
Aqdaar ke janazay dafnaye ja rahay hain.
Mola ab aa bhi jaayain…

Phir se haqeeqaton ko jhutlaya ja raha hai.
Tezi se bid’atoan ko phailaaya ja raha hai.
Taagoot ke azaayim badhtay hi ja rahay hain.
Mola ab aa bhi…

Kab se pukaartay hain momin jo hain pareshaa’n.
Aa jaaiye Khudara ab aye maseeh-e-doraa’n.
Kyun Aap ko pukaarain jo khums kha rahay hain.

Shar’aee rukoom khayain ye peshaawur muballig.
Auroan ko to daraayain ye peshaawur muballig.
Khud be amal hain lekin hum ko dara rahain hain.

Taqreerain kar rahay hain sab maulvi-o-zaakir.
Tayyari kar rahay hain kya hum adeeb-o-shaayir.
Sab hi to yunhi rasmi baatain bana rahay hain.
Mola ab aa bhi…

Na ahl hain magar hai khush fehmi-e-qayadat.
Ilm-o-amal na jurrat na azm-o-istiqamat.
Islaah-e-Qaum ke jo naaray laga rahay hain.

Gayab ba waqt-e-mushkil ho jaatay hain ye saaray.
Apni ana ke qaidi hirs-o-hawas ke maaray.
Jo amn ke dinoan main number bana rahay hain.

dhadka laga hua hai ab aaye aur tab aaye.
Ehsaas hai ye hum ko tayyari kar na paaye.
Hum muntazir thay phir bhi nazrain chura rahay hain.
Mola ab aa bhi…

Ye nazr aur majalis milaad aur muhaafil.
Sochain kabhi hum in se kya kar rahay hain haasil.
Ikhlaas hi nahi jab phir kya kama rahain hain.

Kya maatami-o-ghazi kya haji-o-namazi.
Ilm-o-amal se aari guftaar ke ye ghazi.
Zehra-o-Murtaza ka sab dil dukha rahay hain.

Hotay hain masjidoan main abb aaye din dhamakay.
Mola batayain kab tak apnay uthaaon laashay.
Mohlat na un ko dijiye jo khoo’n baha rahay hain.
Mola ab aa bhi…

Gumrahi-o-mazalim ka ikhtitaam hoga.
Dunya mein aadilana qaayam nizaam hoga.
Hum is yaqeen pa mola rastay saja rahay hain.

Hum bhi hain tere mujrim ye jaantay huay bhi.
Aadil ho muntaqim ho ye maantay huay bhi.
Anjaam se hain waaqif phir bhi bula rahay hain.

Un se salaam kehna baad-e-saba hamara.
Aye baaqi rehnay waalon hum ko na bhool jaana.
Tum intizaar karna ab hum to ja rahay hain.

In’aam bhi milay ga shabash bhi milay gi.
Tum karna Sibt-e-Jafar apna muhaasiba bhi.
Tum jin se ho mukhatib wo jald aa rahay hain.

Mola ab aa bhi jaayain kab se bula rahain hain.

Check Also

Maula Se Baatain Karain - Sibt-e-Jafar

Maula Se Baatain Karain – Sibt-e-Jafar

Aaiye apnay maula se baatain karain. Aaj mauqa bhi hai aur fursat bhi hai. Main mukhatib …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.