Naam Asghar Hai Mera – Mukhtar Hussain

Naam Asghar hai mera. Main Ali ka hoon Ali (x3).
Hurmala tujhko batata hoon mein auqaat teri.
Naam Asghar hai mera. Main Ali ka hoon Ali (x2)

1. Fakhr-e-Khursheed hoon main khaak ka paiwand nahi.
Ibn-e-Shabbir sin-o-saal ka paaband nahi.
Abhi maqtal mein rulaayegi tujhe meri hansi.
Naam Asghar hai… (x2)

2. Tu samajhta hai ke paani ki zaroorat hai mujhe.
Saahib-e-amr ka beta hoon khabar bhi hai tujhe.
Main jo chaahoon abhi lag jaayegi saawan ki jhadi.
Naam Asghar hai… (x2)

3. Aaj se jang ke dastoor badal jaayenge hum.
Faisla saaf ye likhainge moarrikh ke kalum.
Haar kar jeet meri jeet hui haar teri.
Naam Asghar hai… (x2)

4. Hashr se pehlay samaa hashr ka ho jaaye abhi.
Zindagi maat ki aagosh mein so jaaye abhi.
Band konain ki taqdeer hai mutthi mein meri.
Naam Asghar hai… (x2)

5. Zor daada ka dikhaanay ki zaroorat kya hai.
Mujh ko talwaar uthaanay ki zaroorat kya hai.
Main ishaara karoon do ho abhi har aik shaqi.
Naam Asghar hai… (x2)

6. Sham waalo ke muqaddar mein andhera kar doon.
Muntazir hai wo meri koi ishaara kar doon.
Hath bandhay huway khud maat hai maqtal mein khadi.
Naam Asghar hai… (x2)

7. Meri maadar ne badhayi mere ladnay ki umang.
Kabhi khyber kabhi khandaq kabhi siffeen ki jang.
Cheh mahinay mujhe lori mein sunaaya hai yehi.
Naam Asghar hai… (x2)

8. Khandaan aisay kareemo ka kahan aur bhala.
Apne qaatil pe karam shewa-e-aal-e-Zehra.
Hurmala ja tujhe khairaat mein shohrat de di.

9. Chauda sadiyon se Takallum yeh koi kehta hai.
Us ko aulaad ataa ho gi mera daawa hai.
Sar aqeedat se rakhay to mere jhoolay pe koi.

Naam Asghar hai mera. Main Ali ka hoon Ali (x2).

For more manqabats, nohas etc from Syed Mukhtar Hussain Fatehpuri check out http://www.abulhasanlakhani.com/tag/syed-mukhtar-hussain-fatehpuri/

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.