Utho Sakina Chalain Karbala – Mir Hasan Mir 2019-20

Utho Sakina Chalain Karbala

Sakina Sakina (x2)

Zindaan se jab riha huay Saadaat-e-Karbala.
Haaye maa ne lipat ke qabr-e-Sakina pe di sada.
Utho Sakina chalain Karbala (x2).

Chhoti si turbat pe maa ne kaha.
Utho Sakina chalain Karbala (x2).

Zindaan se jaata hai ab qaafila.
Utho Sakina chalain… (x2)

Mujhay Shahazadi tumhari qasam.
Na rakhoongi zindaan se baahar kadam.
Safar ki ab hoti hain tayyariaan.
Amaari mein baithay hain ahl-e-haram.
Ghurbat ka meri tumhain waasta.

Utho Sakina chalain… (x2)

Wo pehlay ke jaisi to ghurbat nahi.
Aye Bibi hamaari wo haalat nahi.
Tumhain shaamiyon se ab aye meri jaan.
Kafan maangnay ki zaroorat nahi.
Lo mil gayi hai tumhaari rida.

Utho Sakina chalain… (x2)

Mujhay yaad Asghar ki hai be-kasee.
Lahad se wo mayyat nikaali gayi.
Akelay mein rehnay na doongi tumhain.
Bharosa nahi shaamiyon ka koi.
Rehtay hain chaaron taraf ashkiyaa.

Utho Sakina chalain… (x2)

Ye shaami kahaan tum ko behlaayengay.
Tumhaari lahad par nahi aayengay.
Rahay ga andhera hi zindaan mein.
Haram jab yahaan se chale jaayengay.
Kon aayega phir jalaanay diyaa.

Utho Sakina chalain… (x2)

Kahaani padar ki sunaaongi main.
Agar neend aayi sulaaongi main.
Akelay na naaqay pe baitho gi tum.
Tumhay saath apnay bithaaongi main.
Ab to rasand mein na hoga gala.

Utho Sakina chalain… (x2)

Mujhay maar daalay ga bus ye hi gham.
Kamar mein hai beti tumhaari jo kham.
Waram baazuoan ka mujhay yaad hai.
Tumhain to dikhaayi bhi deta hai kamm.
Akbar se Bibi milay gi shifaa.

Utho Sakina chalain… (x2)

Bari dair thehri hain darbaar mein.
Yahan par na roko ziyaada unhain.
Ke pehlu pe ik haath rakhay huay.
Sadaa de rahi hain Sakina tumhain.
Lenay ko aayi hain khud Sayyeda.

Utho Sakina chalain… (x2)

Thi zindaan mein Akbar ajab wo ghadhee.
Rihaayi pe roti thi har ik phuppi.
Idhar khoon rota tha Abid udhar.
Sakina lahad mein tadapti rahi.
Jab bhi ye maadar ne ro kar kaha.

Utho Sakina chalain Karbala… (x2)

Check out other Noha from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/mir-hasan-mir/

Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir

Check Also

Batool Ro Parin Fizza Ko - Mir Hasan Mir 2020-21

Batool Ro Parin Fizza Ko – Mir Hasan Mir 2020

Batool Ro Parin Fizza Ko Ye Batatay Huay Haaye Haaye Haaye (x4) Haaye,Jo dard Fatima …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.