Zindaan mein Sakina ko – Rizvia Party

Zindaan mein Sakina ko yaad aaya wo seena (x2).
Jis seene pe soti thi (x2) masoom Sakina.

Kar tars zara zaalim Baba ko na rouongi.
Main godh mein maadar ki aaram se souongi.
Be reham laeenoa’n ne (x2) faryaad suni na.

Zindaan mein Sakina ko… (x2)

Hai maut ki khamoshi taareeki ye zindaa’n mein.
Kya jurm kiya logoa’n maasoom si mehmaa’n ne.
Koi aur to Masooma (x2) yu’n qaid hui na.

Zindaan mein Sakina… (x2)

Sajjad jo zindaa’n se ho qaid khatam teri.
Ja kehna ye Sughra se tum ko hai kasam meri.
Main dafan hoon zindaa’n mein (x2) aabad Madina.

Zindaan mein Sakina… (x2)

Har waqt chamakta tha Karbal mein Madinay mein.
Taaweez ki maanind tha Shabbir ke seenay mein.
Gumm ho gaya wo kaisay zindaa’n mein nageena.

Zindaan mein Sakina… (x2)

Phat jaaye na ghairat se Sajjad jigar tera.
Meray ghar ki ye ronaq hai kehta hai pidar tera.
Ye soch ke Abid ko (x2) kuch hosh rahi na.

Zindaan mein Sakina… (x2)

Rukhsaar main Naana ko mehshar mein dikhaongi.
Rudaad main zindaa’n ki ro ro ke sunaongi.
Pabandi hai ronay pe (x2) kehta hai kameena.

Zindaan mein Sakina… (x2)

Aye dasht-e-ajal ruk ja beemar ko aanay de.
Baba ke liye koi paighaam sunanay de.
Shayad meri turbat pe (x2) wo aayay kabhi na.

Zindaan mein Sakina… (x2)

Haye maut bhi hairaa’n thi maasoom ki mayyat pe.
Afsos rahi karti Ahmad ki raeiyyat pe.
Tha maut ke chehray pe (x2) ghairat ka paseena.

Zindaan mein Sakina… (x2)

Sardaar Sakina ko zindaa’n mein dafan kar ke.
Sajjad ye kehtay thay na kafn mila mar ke.
Ta hashar rulaayegi teri maut Sakina.

Zindaan mein Sakina… (x2)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.