Begunah Mara Gaya – Various Artists

Begunah Mara Gaya

Begunah mara gaya sibt-e-Rasool-e-do sara. Wa Hasan-e-sabz qaba (x4)
Kalma goyoan ne ye kya khoob kiya wada wafa. Wa Hasan-e-sabz qaba (x2)

Begunah mara gaya…

1. Bhai ki laash pe ro ro ke ye Zainab ne kaha.
Aarzu thi bhayya (x2).
Kaash Abdullah-o-Qasim ko banatay dulha.
Wa Hasan-e-sabz qaba.

Begunah mara gaya… (x2)

2. Khoon ugaltay huway bhai ko behan ne dekha.
Aur tadap kar ye kaha (x2).
Teri gurbat pe aye bhai teri Zainab ho fida.
Wa Hasan-e-sabz qaba.

Begunah… (x2)

3. Maa ke gham se abhi azaad kahan thi Zainab.
Ho gaya kaisa gazab (x2).
Baap zinda na raha bhai su-e-khuld chala.
Wa Hasan-e-sabz qaba.

Begunah… (x2)

4. Ker diya zahr-e-halala ne jigar ke tukday.
Aur Qasim ke liye (x2).
Kamsini mein hai ye gham sham-e-ghareebi jaisa.
Wa Hasan-e-sabz qaba.

Begunah mara gaya… (x2)

5. Ghar se ik baar janaza jo nikal jata hai.
Phir wo kab aata hai (x2).
Ye woh taboot hai phir laut ke jo ghar ayaa.
Wa Hasan-e-sabaz qaba.

Begunah mara gaya… (x2)

6. Sheh ne us waqt jo Ghazi ko na roka hota (x2).
Hashr ho jata bapa (x2).
Teer aatay na janazay pe tumharay Mola.
Wa Hasan-e-sabz qaba.

Begunah mara gaya sibt-e-Rasool-e-do sara. Wa Hasan-e-sabz qaba (x4)
Kalma goyoan ne ye kya khoob kiya wada wafa. Wa Hasan-e-sabz qaba (x2)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.