Zindaa’n mein Sakina ye buka – Naeem Abbas Rufi

Zindaa’n mein Sakina ye buka karti thi ro kar (x2).
Dum ghut-ta hai amma mera. Ab yaa se chalo ghar.

Zindaa’n mein Sakina ye buka…

1. Kya andhera hai sujhayi nahi deta kuch bhi (x2).
Haath rakhta nahi amma mere sar par koi.
Aur chund roz mein mar jaoongi main ghut ghut kar.

Zindaa’n mein…

2. Khaak pe soti hoon baba ka nahi hai seena (x2).
Kitna dushwaar hai is dard-o-alam mein jeena.
Raat din roti hu kar de koi Baba ko khabar.

Zindaa’n mein…

3. Khoon bhara kurta badal do mera pyari Amma (x2).
Apni godi mein sula lo mujhe waari Amma.
Sonay deta nahi ik pal mujhay ye hijr-e-padar.

Zindaa’n mein…

4. Tum to kehti thi rihaayi ki ghadi aa pohnchi (x2).
Aisa lagta hai judaayi ki ghadi aa pohnchi.
Khwaab mein aayay thay mere abhi dada Haider.

Zindaa’n mein…

5. Neel rukhsar ke kaanoan ka lahoo taaza hai (x2).
Kuch mere dard ka Amma tumhain andaaza hai.
Ghudhkiyan shimr jo deta hai to phat-ta hai jigar.

Zindaa’n mein…

6. Neend aati na thi Rehan jisay wo bachhi (x2).
So gayi sham ke zindaan mein ye kehti hui.
Chayn se souungi jaaongi jo zindaan se ghar.

Zindaa’n mein Sakina ye buka karti thi ro kar (x2).

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.