Khol De Bediyaan (Salaam) – Syed Raza Abbas Zaidi

Jo qaid ho ke chala kaarwan-e-Aal-e-Nabi.
Nazar Sakina ki Sajjad-e-na tawaan pe padi.
Ke taaziyanay bhi jis ko laga rahay thay shaki.
Tadap ke is tarhan shimr-e-layeen se kehnay lagi.

Khol de bediyaan bhai beemar hai (x2).

1. Soch behr-e-Khuda ye hai Aal-e-aba (x2).
Yuun na durray laga bhai beemar hai.
Khol de bediyaan bhai beemar hai.

2. Pehlay hi is ko gham kya diye tu ne kam (x2).
Ab na kar ye sitam bhai beemar hai.
Khol de…

3. Kya milay ga tujhay is ko yuun maar ke (x2).
Ye aziyyat na de bhai beemar hai.
Khol de…

4. Dekh aye badgumaan kar na ye sakhtiyaan (x2).
De de is ko amaa bhai beemar hai.
Khol de…

5. Jism hai khoo se tar ab to kuch rehm kar (x2).
Ye hai raah-e-safar bhai beemar hai.
Khol de…

6. Khoon rota raha Shabbar-e-be nawa (x2).
Sun ke us ki sada bhai beemar hai.
Khol de bediyaan bhai beemar hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.