Kya Muhammad Ka Pyara – Ali Shanawar

Kya Muhammad Ka Pyara

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain.

Ya Hussain Ya Hussain (x2).

Mera nana nabi meri maa Sayyeda.
Mera baba Ali mera bhai Hasan.
Hum hi hain Panjatan (x2)

Meri kya hai khata. Meri kya hai khata.
Meri kya hai khata. Meri kya hai khata.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhammad Ka Pyara nahi hoon.) x2

Kya main Zehra ka jaaya nahi hoon (x2).
Kya main Zehra ka jaaya nahi hoon.
Kya nabi ka nawasa nahi hoon.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhammad Ka Pyara nahi hoon.) x2

1. (Mera nana ne kalma sikhaya.
Aur Quran tum ko sunaya) (x2).
Kya main nana ka saaya nahi hoon (x2).
Kya main nana ka saaya nahi hoon.
Kya nabi ka nawasa nahi hoon.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhammad Ka Pyara nahi hoon). (x2)

2. (Wo madina jahan mera ghar hai.
Aur masjid mein us ghar ka dar hai) (x2).
Kya main us ghar mein khela nahi hoon (x2).
Kya main us ghar mein khela nahi hoon
Kya nabi ka nawasa nahi hoon.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhammad Ka Pyara nahi hoon). (x2)

3. (Chakkiyaan pees kar maa ne paala.
Mujh ko nana ne jhoola jhulaya) (x2).
Apna bachpan main bhoola nahi hoon (x2).
Apna bachpan main bhoola nahi hoon.
Kya nabi ka nawasa nahi hoon.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhamad ka pyara nahi hoon). (x2)

4. (Kamli waalay ke lab choomta tha.
Kitna pyara mera bachpana tha) (x2).
Kya main un ka dulaara nahi hoon (x2).
Kya main un ka dulaara nahi hoon.
Kya nabi ka nawasa nahi hoon.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhamad ka pyara nahi hoon). (x2)

5. (Main jo paani kabhi maangta tha.
Kyun tadapti thi maa ab main samjha) (x2).
Paas Asgar ke jaata nahi hoon (x2).
Paas Asgar ke jaata nahi hoon.
Kya nabi ka nawasa nahi hoon.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhamad ka pyara nahi hoon). (x2)

6. (Main jo chahoon baras jaaye baadal.
Khoo mein dooba nazar aayay maqtal) (x2).
Jung karnay main aaya nahi hoon (x2).
Jung karnay main aaya nahi hoon.
Kya nabi ka nawasa nahi hoon.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhamad ka pyara nahi hoon). (x2)

7. (Ek sada thi ye rehan-o-sarwar.
Keh rahay thay Hussain ibn-e-Haider) (x2).
Kya main mehmaan aaya nahi hoon (x2).
Kya main mehmaan aaya nahi hoon.
Kya nabi ka nawasa nahi hoon.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhamad ka pyara nahi hoon). (x2)

Kya main Zehra ka jaaya nahi hoon (x2).
Kya main Zehra ka jaaya nahi hoon.
Kya nabi ka nawasa nahi hoon.

(Mujh pe kyun band kartay ho paani.
Kya Muhamad ka pyara nahi hoon). (x2)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.