Qaid Khaney Mein – Ali Shanawar 2017

Qaid Khaney Mein

Baba. Baba. Baba.
Sun rahay ho sada baba jaan (x2).
Baba jaan…

Hum kahan aa gaye ghar kahan reh gaya (x2).
Qaid khaney mein noha Sakina ka tha (x2).
Hum kahan aa gaye ghar kahan reh gaya (x2).

1. Yaad aata hai guzra zamaana mujhe.
Le ke baahoan mein jhoola jhulana mujhe.
Main bulaati rahi aur na aaye chacha.
Hum kahan aa gaye… (x2).
Qaid khaney mein noha Sakina ka tha.
Hum kahan aa gaye… (x2).

2. Yaad aata hai pyaara Madina mujhe.
Phool jaisa wo baba ka seena mujhe.
Wo zamana koi phir dikha de mujhe.
Hum kahan aa gaye… (x2).
Qaid khaney…
Hum kahan aa gaye… (x2).

3. Bhai Abid ne chalna sikhaya mujhe.
Apnay haathon se khana khilaya mujhe.
Ab usi ke liye hai dawa na ghiza.
Hum kahan aa gaye… (x2).
Qaid khaney…
Hum kahan aa gaye… (x2).

4. Hai baba ko dekhay zamana hua.
Un ke seenay pe soye zamana hua.
Na tumhara pata na hamara pata.
Hum kahan aa gaye… (x2).
Qaid khaney…
Hum kahan aa gaye… (x2).

Sun rahay ho sada Baba jaan (x2)

 

Check out other write-ups for Ali Shanawar:
http://www.abulhasanlakhani.com/tag/ali-shanawar/

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.