Maro Na Taziyana Beti Ko Mustafa Ki
Recited by Hasnain Abbas · ·views·recited·Available offline
اردو
مارو نہ تازیانہ بیٹی کو مصطفیٰؐ کی
لوگوں رسن نہ باندھو گردن میں مرتضیٰ کی
ٹوٹی ہیں پسلیاں کیوں چہرے پہ نیل کیوں ہیں
امت نے کی ہے کیسے تعظیم فاطمہؑ کی
برباد ہو نہ جائے یارب کہیں مدینہ
بالوں کو کھول کر جو زہراؑ نے بد دعا کی
تحریر مصطفیٰؐ کی کرتے ہیں پارہ پارہ
تاریخ لکھ رہے ہیں دربار میں جفاء کی
غم آگیا ہے بی بی کیوں آپ کی کمر میں
اٹھارہ سال میں ہیں محتاج کیوں عصا کی
اک رات میں بنائیں چالیس جا پہ قبریں
مولا کو تھیں چھپانی اک قبر سیدہؑ کی
فضہ سے بڑھ کے اکبر بالوں میں تھی سفیدی
دفنائی تھی علیؑ نے جب بیٹی مصطفیٰؐ کی
ازقلم: جناب حسنین اکبر // سوز: استاد اکبر عباس کٹری باوا
Roman Urdu
Maaro na taaziyana beti ko Mustafa ki
Logon rasan na baandho gardan mein Murtaza ki
Tooti hain pasliyaan kyun chehrey pe neel kyun hain
Ummat ne ki hai kaise taazeem Fatimaؑ ki
Barbaad ho na jaaye Yarab kahin Madina
Baalon ko khol kar jo Zehraؑ ne bad dua ki
Tehreer Mustafaؐ ki karte hain paara paara
Taareekh likh rahe hain darbaar mein jafaa ki
Gham aa gaya hai Bibi kyun aap ki kamar mein
Athaara saal mein hain mohtaaj kyun asaa ki
Ik raat mein banaayein chaalees jaa pe qabrein
Maula ko theen chhupaani ik qabr Syeda ki
Fizza se barh ke Akbar baalon mein thi sufaidi
Dafnaayi thi Aliؑ ne jab beti Mustafaؐ ki
Az Qalam: Janaab Hasnain Akbar // Soz: Ustad Akbar Abbas Katri Bawa
Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction
JazakAllah for reciting it. If this archive has served your majlis, a small sadaqah jariyah keeps it free for the next one.
Related Kalaam
مارا ہے فاطمہ کو ۔ حسنین عبّاس ۲۰۱۷۔۱۸
Mara Hai Fatima Ko - Hasnain Abbas
Mara Hai Fatima Ko - Hasnain Abbas
Hasnain Abbas ·
ManqabatTumhare Noor Se Aesi – Hasnain Abbas 2025
Hasnain Abbas ·
یہ غُربتِ علی ہے
Ye Ghurbat e Ali Hai
Ye Ghurbat e Ali Hai
Mir Hasan Mir ·
قبرِ زہرا بنا رہے ہیں علی
Qabr e Zehra Bana Rahe Hain Ali
Qabr e Zehra Bana Rahe Hain Ali
Mir Hasan Mir ·
