Nannhe Mujahid Ran Mein Ja Kar – Ali Zia Rizvi 1980s

Nannhe Mujahid Ran Mein Ja Kar

Nannhe mujahid ran mein ja kar tum nahi aaye
Shaah to aaye jaan-e-maadar tum nahi aaye

(Nannhe mujahid ran mein ja kar
tum nahi aaye) x2

Kab se khadi hoon khaimay ke dar par (x2)
Aankhon mein le kar ashkoan ke saagar (x2)
Pesh karoon aa jaao jo Asghar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Tum ne ishaaroan mein ye kaha tha (x2)
De dein raza maqtal ki Khudara (x2)
Kar ke fatah main aaonga lashkar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Pyaas se rota hai yehi jaana (x2)
Zid ko koi bhi na pehchaana (x2)
Dedi raza wo bhi tumhain dilbar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Hanstay huay khaimoan se sidhaaray (x2)
Pesh-e-nazar hain saaray nazaaray (x2)
Ho gaya kya maidaan mein jaa kar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Teer laga hai kya gardan par (x2)
Jo nahi dekha maa ko palat kar (x2)
Kaun si majboori thi Asghar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Qatl huay jo jor-o-jafa se (x2)
Shaah utha kar laaye wo laashay (x2)
Aatay hain tanha run se Sarwar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Kis ko sunaaongi main kahaani (x2)
Ye bhi na socha Yusuf-e-saani (x2)
Maa se katengi raat ye kyun kar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Khaali jo pehlu paaongi beta (x2)
Gham se phatega mera kalejaa (x2)
Raat bhi guzray gi ro ro kar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Raat andheri dasht-e-bayaaban (x2)
Darr nahi jaana ran mein meri jaan (x2)
Kaisay rahoge maa se bichhad kar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Kaisay jiyegi Baali Sakina (x2)
Hai gham-e-furqat se wo hazeena (x2)
Roti hai ab tak yaad mein khaahar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Itna ishaara mujhko bata do (x2)
Kis ke kareeb aye maah-e-laqa ho (x2)
dhoondnay aa jaayegi maadar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Tere bina main chayn na paaon (x2)
Jhoola hai khaali kis ko jhulaaon (x2)
Kis ko sulaaon loriaan de kar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Chaaron taraf maidaan mein hain laashay (x2)
Karti hai shab aa kar ye ishaaray (x2)
Kitna wehshat naak hai manzar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Maa se ziyaada kaun hai pyaara (x2)
Kis ne diya hai aaisa sahaara (x2)
Bhool gaye aaghosh-e-maadar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid…

Baad tumharay ye hua Asghar (x2)
Chal gaya halq-e-Shaah pe khanjar (x2)
Jal gaye khaimay chhin gayi chaadar (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid ran mein ja kar tum nahi aaye

Kis ne Anees-e-gham ko pukaara (x2)
Sunwaao aawaz dubaara (x2)
Noha yehi tha Bano ke lab par (x2)
Tum nahi aaye

Nannhe mujahid ran mein ja kar tum nahi aaye

Shaah to aaye jaan-e-maadar tum nahi aaye

Check out other Noha from Ali Zia Rizvi:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/ali-zia-rizvi/

Anjuman-e-Ghamkhwaran-e-Abbas’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/channel/UC08jwm0R5_cMXCXrGQEZNCw

Check Also

Nala ba lab e Zainab - Ali Zia Rizvi 1987

Nala Ba Lab e Zainab (Noha) – Ali Zia Rizvi 1980s

Nala ba lab e Zainab e lachaar Hussaina Nala ba lab e Zainab e lachaar …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.