Hum Hussaini Hain Dunya Mein – Nadeem Sarwar 1990-91

Hum Hussaini Hain Dunya Mein Phailay Huay

Hussain Hussain Hussain (x2)
Hussain Hussain Hussain (x2)

(Hum Hussaini hain dunya mein phailay huay.
Hussain Hussain Hussain (x2)) x2
Sakhtiyaan Karbala ki hain jhelay huay.
Hussain Hussain Hussain (x2)

Hum pe saaya wafa aur wafadaar ka. (x2)
Dhoop mein jaisay saaya ho deewar ka. (x2)
Sar pe parcham hai Sheh ke Alamdaar ka. (x2)
Har qadam badh rahay hain ye kehtay huay.

Hussain Hussain Hussain (x2)

Hai ye dharti agar Laal Shahbaz ki. (x2)
Laal Shahbaz ke bhi wali hain Ali. (x2)
Sarfaraazi isi dar se sab ko mili. (x2)
Wajd mein kyun na har qalandar kahay.

Hussain Hussain Hussain (x2)

Khwaja Ajmer ho ya Nizaam-o-Fareed. (x2)
Sheh ke dushman ko kehtay hain ye bhi yazeed. (x2)
Sheh ka gham in ke maslak mein haq ki naveed. (x2)
Kitne aizaaz in ko ye keh kar milay.

Hussain Hussain Hussain (x2)

Haq parasti ke dunya mein haami raho (x2)
Gar ho mazloom zaalim ko barhnay na do (x2)
Zer e khanjar Hussaini sada wo suno (x2)
Aaj bhi jis se zaalim hai dehlay huay

Hussain Hussain Hussain (x2)

Mard wo hai jo waaday ko poora karay (x2)
Zer-e-khanjar bhi haq baat kehta rahay (x2)
Sar rahay na rahay ghar lutay ya bachay (x2)
Juz tere aur kis mein hain ye hauslay

Hussain Hussain Hussain (x2)

Aandhiyaan hum ko rokain ye mumkin nahi. (x2)
Moo gham e Sheh se morhain ye mumkin nahi. (x2)
Rasm e gham kaisay chhorain ye mumkin nahi. (x2)
Hum to roz-e-azal se hi teray huay.

Hussain Hussain Hussain (x2)

Kull e Imaan mushkil kushaa hain Ali (x2)
Keh rahay hain nuseri Khuda hain Ali (x2)
Ye Khuda jaanta hai ke kya hain Ali (x2)
Saaray ausaaf Haider ke tujh mein milay

Hussain Hussain Hussain (x2)

Khyber-o-Khandaq-o-Nehrwaan-o-Jamal. (x2)
Zarb e Haider ka koi nahi hai badal (x2)
Aye zamaanay kabhi raah-e-Haider pe chal (x2)
Tera dil bhi milay ga ye kehtay huay.

Hussain Hussain Hussain (x2)

Hum azaadar hain kitne khuddaar hain (x2)
De ke khushiyaan jo gham ke talabgaar hain (x2)
Shaadi-o-gham mein sarwar ke gamkhwar hain (x2)
Aik hi naam hai lab kabhi jo hilay

Hussain Hussain Hussain (x2)

Ashq rokain agar hum to phat jaaye dil (x2)
Gar na maatam karain hum to kat jaaye dil (x2)
Apnay markaz se mehwar se hatt jaaye dil (x2)
Teri bazm-e-aza gar na hum ko milay

Hussain Hussain Hussain (x2)

Hum Hussaini hain dunya mein phelay huay.
Hussain Hussain Hussain. (x2)

Haaye wo roz e aashura Sheh ki behan (x2)
Dekhti thi ujarhta jo apna chaman (x2)
Khoon e Akbar se gulrang tha perahan (x2)
De rahi thi sada ban mein sar peet ke

Hussain Hussain Hussain (x2)

Teri madar ka shab ko janaza utha. (x2)
Teri hamsheer balway mein hai be rida. (x2)
Haaye tujhko kafan bhi nahi mil saka. (x2)
Zakhm ab tak hamaray nahi wo bharay.

Hussain Hussain Hussain (x2)

Aik nanni se turbat banaayi thi jaa. (x2)
Be kasi pursa denay ko aayi thi jaa. (x2)
Laash e Asghar zameen mein chupaayi thi jaa. (x2)
Daaman e sabr choota na kyun haath se.

Hussain Hussain Hussain. (x2)

Koi poochay jo Abid ke dil se zara. (x2)
Teh safar Shaam-o-Kufa ka kaisay kiya. (x2)
Betiyaan Fatima ki theen jab be rida. (x2)
Chalnay detay na thay paaon ke aablay.

Hussain Hussain Hussain. (x2)

Aye Rehan Aazmi fiqr ho bas yehi (x2)
Maatam-e-Sheh mein honay na paaye kami. (x2)
Hai yehi Zindagi Hai yehi bandagi. (x2)
Meray ajdaad bhi mujhse ye keh gaye.

Hussain Hussain Hussain. (x2)

Hum Hussaini Hain Dunya…
Hussain Hussain Hussain.
Hum Hussaini Hain Dunya…
Hussain Hussain Hussain.
Hum Hussaini Hain Dunya…
Hum Hussaini Hain Dunya…

Check out other Noha from Syed Nadeem Raza Sarwar:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/nadeem-sarwar/

Nadeem Sarwar’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/user/syednadeemsarwar

Check Also

Shabbir Agar Teri - Nadeem Sarwar 1997-98

Shabbir Agar Teri – Nadeem Sarwar 1997-98

Shabbir Agar Teri (Na dil rota na gham hotaNa aisa kaheen maatam hota) x2 Shabbir …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.