Inqilaab Isi Matam e Shabbir Se – Nadeem Sarwar 1991-92

Inqilaab Isi Matam e Shabbir Se

Inqilaab Inqilaab (x2)
Isi matam-e-Shabbir se Inqilaab
Isi matam-e-Shabbir se Inqilaab (x2)

Fiqr e inqilaab hai Hussaini fiqr chahiye (x2)
Karbala se jo uthi thi aisi fiqr chahiye (x2)
Buzari o Qambari ke jaisi fiqr chahiye (x2)
Fiqr e Hurr thi jis tarhan ki waisi fiqr chahiye
Haan Hasan Hussain ki Ali ki fiqr chahiye
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi Matam e Shabbir se… (x2)

Inqilaab khoon se hai tegh kaatnay ka naam (x2).
Inqilaab dil pe barchion ko roknay ka naam (x2).
Inqilaab ghar luta ke shukr bhejnay ka naam (x2).
Inqilaab muskura ke teer khenchnay ka naam.
Inqilaab nojawaan ki laash dekhnay ka naam.
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e Shabbir se… (x2)

Inqilaab hai sada-e-istighasa-e-Hussain (x2)
Inqilaab-e-Karbala hai kya khulasa e Hussain (x2)
Inqilaab-e-sabr dhoop mein hai laasha-e-Hussain (x2)
Inqilaab zabt mein chupa dilaasa-e-Hussain
Inqilaab tashnagi e halq pyaasa-e-Hussain
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se… (x2)

Khoon inqilaab hai to khoon phir Ali ka hai (x2).
Josh inqilaab hai to josh phir Ali ka hai (x2).
Hosh inqilaab hai to hosh phir Ali ka hai (x2).
Waqt inqilaab hai to waqt phir Ali ka hai.
Dast inqilaab hai to dast phir Ali ka hai.
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se… (x2)

Jab talak jiyenge hum payaam ye sunayainge (x2)
Nafrat o guroor tere naam ko mitayainge (x2)
Nara e Hussain se zamanay ko jagaayinge (x2)
Sar buland deen ka alam hai hum batayainge
Hum Hussaini fiqr se wo inqilaab laayainge
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se… (x2)

Matam e Hussain ki dhamak zameen se ta samaa (x2)
Manzil e yaqeen hai nahi hai is mein koi shaq (x2)
Majlis e aza juloos-o-taazion ki ye dhanak (x2)
Hai aza ka farsh ye (zameen aur ye falak x2).
Hum to kya ke seena kobi (kar rahay hain ye malak x2)
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se… (x2)

Ye jawaan-o-peer sheer khwaar aur ye nonehaal (x2)
Matam-e-Hussain mein badan lahu se jin ke laal (x2)
Parda daar betiaan Hussaini gham mein hain nidhaal (x2)
Pa barehna sar khulay (galay mein hai aza ki shaal x2)
Hai dua e Fatima (Hussaini fiqr ka kamaal x2)
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se… (x2)

Matam-e-Hussain teeragi mein aik roshni (x2)
Aql bhi sha’oor bhi ye humsifaat-e-bandagi (x2)
Naara-e-Azaan yehi yehi hamari zindagi (x2)
Ramz ye samajh sakaingay (Buzari-o-Qambari x2)
Hai Hussainiyyat jahan (jahan wahan qalandari x2)
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se… (x2)

Haq parastion ki raah ka pata hai Karbala (x2)
Zulm ke muqaablay pe aa gaya hai Karbala (x2)
Kufr ke guroor ko mita gaya hai Karbala (x2)
Aandhiyon mein bhi diya (jala gaya hai Karbala x2)
Parcham-e-Hussain ban ke (chaa gaya hai Karbala x2)
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se… (x2)

Taalib-e-Ali jo hai wo johari janab hai (x2)
Aql par aqeel ki ataa-e-Bu-Turaab hai (x2)
Fiqr-e-Irfan Aabidi mein fiqr-e-haq nisaab hai (x2)
Inqilaab-e-Karbala se (zulm be naqaab hai x2)
Zikr se Hussain ke (zamaana faiziyaab hai x2)
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se… (x2)

Bachay noha khwaan sabhi ziaa-e-inqilaab hain (x2)
Naazim-o-Ali bhi to nawaa-e-inqilaab hain (x2)
Nasir-o-Asad Qamar liwaa-e-inqilaab hain (x2)
Jaffer Akbar-o-Naqi (sadaa-e-inqilaab hain x2)
Sab ke sab ye noha khwaan (baraa-e-inqilaab hain x2)
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se… (x2)

Hai Nadeem Sarwar-o-Rehan Aazmi ke naam (x2)
Aik zaakir-e-Hussain aik shaayir-e-Imam (x2)
Mil gaya dua-e-Sayyeda se in ko wo muqaam (x2)
Ye aza ke bazm mein (Hasan Hussain ke ghulaam x2)
In ke waalidain par (Hussainiyon ke hain salaam x2)
Inqilaab Inqilaab (x2)

Isi matam e shabbir se inqilaab (x2)

Check out other Noha from Syed Nadeem Raza Sarwar:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/noha/nadeem-sarwar/

Nadeem Sarwar’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/user/syednadeemsarwar



Check Also

Shabbir Agar Teri - Nadeem Sarwar 1997-98

Shabbir Agar Teri – Nadeem Sarwar 1997-98

Shabbir Agar Teri (Na dil rota na gham hotaNa aisa kaheen maatam hota) x2 Shabbir …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.