Kyun Na Roye Sajjad – Raza Abbas Zaidi

Kyun Na Roye Sajjad

Sajjad rehaayi paa kar bhi. Pardes se ghar ko aa kar bhi.
Jab ashk bahaatay rehtay thay. Zainab se dukh dekhay na gayay.
Ek roz tadap ye poocha. Sajjad tu kab tak royega.
Us waqt mere mola ne kaha.

Amma apne muqaddar par. Sughra ke sawaalon par.
Kyun na roye sajjad.

1. Aye meri phupi insaf tu kar. Nezay pe jo dekhay baap ka sar.
Ho saath safar mein wo jis ne cheera tha Ali Akbar ka jigar.
Durroan ki saza milti ho jahan. Bachoan ko ashk bahanay par.
Kyun na roye…

2. Tum chup chup kar khoon roti ho. Main rouoon to kyun kehti ho.
Roya na karo aye laal mere bhai ko gawa kar bethi hoon.
Masoom behan ko zindaan mein jo chor ke tanha aaya ghar.
kyun na roye…

3. Nezay se gira Abbas ka sar. Main dekh chuka hoon wo manzar.
Darbaar mein main kyun mar na gaya jab naam tumhara le le kar.
Kehta tha layeen Zainab hai kahan. Le aao yahan par be chaadar.
Kyun na roye…

4. Sab qatl huay main zinda tha bemaar sahi lad sakta tha.
Sharminda hoon main Asghar se wo teer-e-sitam se ladh to gaya.
Wo teer mere kyun kar na laga. Jis teer se ghaayal tha Asghar.
Kyun na roye…

5. Kyun saamnay Sughra ke jaaun. Behtar to yehi hai mar jaaun.
Tum zinda ho Akbar na raha wo poochay to kya batlaaun.
Kya sabr karoon kya zabt karoon. Hai zakhm bohat dil ke andar.
Kyun na roye…

6. Sar tasht mein tha baba ka rakha. Aur takht pe qaatil betha tha.
Dandaan-e-mubarak par un ke khush ho ke chadi wo maarta tha.
Afsos main kuch bhi kar na saka. Ab tak hai usi se dard-e-jigar.
Kyun na roye…

7. Rehan-o-Raza rotay rehna. Is dehr mein hai jab tak jeena.
Nohoan ki azaanay de de kar. Har shakhs se ye kehtay rehna.
Be gor-o-kafan maasoom behan. Zindaan mein ho jis ke haathon par.
Kyun na roye…

 

http://www.abulhasanlakhani.com/tag/syed-raza-abbas-zaidi/

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.