Barchi Na Khenchna – Syed Raza Abbas Zaidi
Recited by Syed Raza Abbas Zaidi · ·views·recited·Available offline

Roman Urdu
Bolay pidar se Akbar barchi na khenchna (x2).
Hai jaan ab labon par (x2). Barchi na khenchna.
Bolay pidar se Akbar barchi na khenchna.
Baba nazar ko phair lodum tootnay laga.
Barchi ke phal se khoon hai dil ka ruka hua.
Ublay ga khoo’n zameen par (x2). Barchi na…
Bolay pidar se…
Main ne tumhain bulaya tha taakay main keh sakoon.
Bilkul na gham karo mere dil ko hai ab sukoon.
Bethay raho yahan magar (x2). Barchi na…
Bolay pidar se…
Amma ko ye khabar na ho mere sina lagi.
Gash aa gaya hai bas zara shiddat thi pyaas ki.
Main aa raha hoon jao ghar (x2). Barchi na…
Bolay pidar se…
Bolay Hussain baap ko behla rahay hain aap.
Maloom hai ke yaa’n se kahan ja rahay hain aap.
Kehtay ho moo ko pher kar (x2). Barchi na…
Bolay pidar se…
Saansain ukhad rahi hain to maddham hai nabz bhi.
Kartay ho aah hum ko hai taakeed sabr ki.
Kehtay ho thaam ke jigar (x2). Barchi na…
Bolay pidar se…
Akbar pukaray baap se dil ko sambhaliye.
Tooti sina kalejay mein rehnay hi dijiye.
Niklay ga saath mein jigar (x2). Barchi na…
Bolay pidar se…
Mola ne Ya Ali kaha dil ko sambhaal kar.
Phir khud hi ladhkhadha gaye barchi nikaal kar.
Kehta raha jawaa’n pisar (x2). Barchi na…
Bolay pidar se Akbar barchi na…
Rehan saath barchi ke dil bhi nikal padha.
Padhtay rahay Hussain bhi taa der marsiya.
Maa kehti aayi nangay sar (x2) barchi na khenchna.
Bolay pidar se Akbar barchi na…
Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction
JazakAllah for reciting it. If this archive has served your majlis, a small sadaqah jariyah keeps it free for the next one.
Related Kalaam
Noha▶ videoKyun Na Roye Sajjad – Raza Abbas Zaidi 2010
Syed Raza Abbas Zaidi ·
NohaMeri Sakina Ko – Syed Raza Abbas Zaidi 2010
Syed Raza Abbas Zaidi ·
تِشنَگی مَشک و علَم بالی سَکینہ - رضا عبّاس زیدی ۲۰۱۳
Tishnagi Mashk-o-Alam Bali Sakina - Raza Abbaz Zaidi 2013
Tishnagi Mashk-o-Alam Bali Sakina - Raza Abbaz Zaidi 2013
Syed Raza Abbas Zaidi ·
تم بن کئی راتوں سے
Tum Bin Kayi Raaton Se
Tum Bin Kayi Raaton Se
Syed Raza Abbas Zaidi ·
