Sakina Aur Zehra Ki Musibat Aik Jaisi Hai
Recited by Mir Hasan Mir · ·views·recited·Available offline
اردو
عاشورہ فاطمیّہ
سکینہؑ اور زہراؑ کی مصیبت ایک جیسی ہے
ہیں ٹوٹی پسلیاں دونوں، کی حالت ایک جیسی ہے
وہاں بنتِ رسولؐ اللّٰہ کا، پہلو شکستہ ہے
یہاں بچّی، کے کانوں سے، ابھی بھی خون رِستا ہے
لحد میں جا کے بھی دونوں، کی غُربت ایک جیسی ہے
وہاں قُفقُد کے ہاتھوں نے، کوئی تحریر لکھی ہے
یہاں تحریر ظالم شمر کے ہاتھوں، کی ملتی ہے
لکھی دونوں کے چہروں پر، عبارت ایک جیسی ہے
گئیں اِک ایک دَر پر فاطمہؑ، شہرِ مدینہ میں
سکینہؑ در، بدر پھرتی، رہی ہے شام و کوفہ میں
ولایت کے لیے اِن کی، مُسافت ایک جیسی ہے
سرِ دربار دادی اور، پوتی کی ہوئی پیشی
وہ اٹّھارہ برس کی اور، یہ ہے چار برسوں کی
نہ جانے پھر بھی کیوں بالوں، کی رنگت ایک جیسی ہے
اُسے کہتے، تھے یثرب والے، روئے شہر سے باہر
طمانچے مارتے تھے شام والے اِس کو رونے پر
دِلوں میں باپ کو رونے، کی حسرت ایک جیسی ہے
سِتمگر کے طمانچے کی، نہ جانے کیسی ضربت ہے
سہارے سے، چلے دیوار کے دونوں، قیامت ہے
نظر کچھ بھی نہیں آتا، بصارت ایک جیسی ہے
گلے سے مرتضیٰؑ کے رسِّیاں، زہراؑ چھڑاتی ہیں
سکینہؑ طوق پے سجادؑ کے پانی، بہاتی ہیں
امامت کے لیے دونوں، کی محنت ایک جیسی ہے
مِٹا دینا، نشانِ قبرِ میّت، قبر میں رکھ کر
ولایت کا، کوئی مُنکِر نہیں، آئے جنازے پر
امامِ وقت سے اُن کی، وصِیَّت ایک جیسی ہے
قیامت بن کے آیا تھا، تکلّمؔ وقتِ مغرب کا
اِدھر بالی سکینہؑ کا، اُدھر زہراؑ کا دم نِکلا
جہاں سے اِن کے جانے کی، ساعت ایک جیسی ہے
شاعر: میر تکلم میر
استِفادہءِ مصرہ: علی رضا سُرانی
ترز: جناب رضا شاہ
Roman Urdu
Ashura Fatimiyyah
Sakinaؑ aur Zehraؑ ki museebat aik jaisi hai
Hain tooti pasliyaan dono, ki haalat aik jaisi hai
Wahaan bint-e-Rasoolؐ Allah ka, pehlu shikasta hai
Yahaan bachchi, ke kaanon se, abhi bhi khoon rista hai
Lahad mein ja ke bhi dono, ki ghurbat aik jaisi hai
Wahaan Qufqud ke haathon ne, koi tehreer likhi hai
Yahaan tehreer zaalim Shimr ke haathon, ki milti hai
Likhi dono ke chehron par, ibaarat aik jaisi hai
Gayeen ik aik dar par Fatimaؑ, shehr-e-Madina mein
Sakinaؑ dar, badar phirti, rahi hai Shaam o Koofa mein
Wilaayat ke liye in ki, musaafat aik jaisi hai
Sar-e-darbaar daadi aur, poti ki hui peshi
Woh attharah baras ki aur, yeh hai chaar barson ki
Na jaane phir bhi kyun baalon, ki rangat aik jaisi hai
Usey kehte, thay Yasrab waale, roye shehr se baahar
Tamaanche maarte thay Shaam waale is ko rone par
Dilon mein baap ko rone, ki hasrat aik jaisi hai
Sitamgar ke tamaanche ki, na jaane kaisi zarbat hai
Sahaare se, chale deewaar ke dono, qayamat hai
Nazar kuchh bhi nahi aata, basaarat aik jaisi hai
Gale se Murtazaؑ ke rassiyaan, Zehraؑ chhudaati hain
Sakinaؑ tauq pe Sajjadؑ ke paani, bahaati hain
Imaamat ke liye dono, ki mehnat aik jaisi hai
Mita dena, nishaan-e-qabr-e-mayyat, qabr mein rakh kar
Wilaayat ka, koi munkir nahi, aaye janaaze par
Imaam-e-waqt se un ki, wasiyyat aik jaisi hai
Qayamat ban ke aaya tha, Takallum waqt-e-maghrib ka
Idhar baali Sakinaؑ ka, udhar Zehraؑ ka dam nikla
Jahaan se in ke jaane ki, saa'at aik jaisi hai
Shayar: Mir Takallum Mir
Istifaadah-e-misra: Ali Raza Surani
Tarz: Janaab Raza Shah
Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction
JazakAllah for reciting it. If this archive has served your majlis, a small sadaqah jariyah keeps it free for the next one.
Related Kalaam
اۓ زہرا کے بابا
Aye Zehra Ke Baba
Aye Zehra Ke Baba
Mir Hasan Mir ·
توڑ کے بندِ کفن مجھ کو بُلا لو امّاں
Tod Ke Band e Kafan Mujhko Bula Lo Amma
Tod Ke Band e Kafan Mujhko Bula Lo Amma
Mir Hasan Mir ·
زخمی ہیں فاطمہ ٹوٹی ہیں پسلیاں
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyaan
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyaan
Mir Hasan Mir ·
قبرِ زہرا بنا رہے ہیں علی
Qabr e Zehra Bana Rahe Hain Ali
Qabr e Zehra Bana Rahe Hain Ali
Mir Hasan Mir ·
