Khuda Khair Karay – Mir Hasan Mir 2017-18
Recited by Mir Hasan Mir · ·views·recited·Available offline

Roman Urdu
Khuda khair karay
Bint-e-Zehra ka khula sar hai Khuda khair karay.
Bint-e-Zehra ka khula sar hai Khuda khair karay (x2).
Bint-e-Zehra ka khula sar hai Khuda khair karey (x2).
Aur har haath mein patthar hai Khuda khair karey.
Bint-e-Zehra ka… (x2)
Hurr ke betay pe hi Shabbir bohat roye thay (x2).
Ab to laash-e-Ali Akbar hai Khuda khair karey.
Bint-e-Zehra ka… (x2)
Maartay hain wahan naizo’n ko zamee’n par zaalim (x2).
Dafn jis jaa Ali Asghar hai Khuda khair karey.
Bint-e-Zehra ka… (x2)
Kuch kadam duur khadi dekh rahi hai Zainab (x2).
Shimr ke haath mein khanjar hai Khuda khair karey.
Bint-e-Zehra ka… (x2)
Chonk kar khwaab se kehti thi watan mein Sughra (x2).
Kisi mushkil mein mera ghar hai Khuda khair karey.
Bint-e-Zehra ka… (x2)
Peechay deewar hai aur jalta hua dar aagay (x2).
Beech mein Bint-e-Payambar hai Khuda khair karey.
Bint-e-Zehra ka… (x2)
Be rida jaana hai Zainab ko waha’n par ke jahaa’n (x2).
Har koi dushman-e-Haider hai Khuda khair karey.
Bint-e-Zehra ka… (x2)
Hai chadhi haath mein zaalim ke laboa’n par hai hansi (x2).
Tasht mein sheh ka rakha sar hai Khuda khair karey.
Bint-e-Zehra ka… (x2)
Mir Sajjad ye Shiree’n ne kaha rotay huay (x2).
Kis ki nezay pe ye chadar hai Khuda khair karey.
Bint-e-Zehra ka… (x2)
Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction
JazakAllah for reciting it. If this archive has served your majlis, a small sadaqah jariyah keeps it free for the next one.
Related Kalaam
Noha▶ videoKis Tarha Apni Tabahi Ki – Mir Hasan Mir 2007
Mir Hasan Mir ·
NohaHurr Aa Raha Hai Akbar – Mir Hasan Mir 2019-20
Mir Hasan Mir ·
NohaZakhm e Akbar Pay Laila – Mir Hasan Mir 2017 – 1439h
Mir Hasan Mir ·
NohaKya Tum Mere Hussain Ho – Mir Hasan Mir 2020-21
Mir Hasan Mir ·
