Maa Teray Jaanay Se – Special Kalaam by Shuja Rizvi
Recited by Shuja Rizvi · ·views·recited·Available offline

Roman Urdu
Maa (x2)
Teray jaanay se (x2).
Zindagi ho gayi veeraan.
Maa teray jaanay se.
Ghar bhi ab lagta hai sunsaan.
Maa teray jaanay se.
Zindagi ho gayi veeraan.
Maa teray…
Teray hotay huay hotay thay zamaanay meray (x2).
Lagtay hain ab sabhi anjaan.
Maa teray…
Baith kar paass meray baatein jahaan karti thi (x2).
Soona wo ho gaya daalaan.
Maa teray…
Kitnay dukh main ne diye tu ne wo hans kar hi sahay (x2).
Soch kar hoon main pashaymaan.
Maa teray…
Muskuraa deti thi tu dekh ke naadim mujh ko (x2).
Kho gayi wo teri muskaan.
Maa teray…
Maut aa jaati mujhay maa teri khidmat kartay (x2).
Reh gaya dil mein ye armaan.
Maa teray…
Hai bada ghar bhi mera paass hai daulat bhi bohat (x2).
Phir bhi rehta hoon parayshaan.
Maa teray…
Jaatay jaatay bhi dua jeenay ki di tu ne mujhay (x2).
Ab hui hai teri pehchaan.
Maa teray…
Baad meray bhi yunhi saath mein sab mil ke rahain (x2).
Yaad aata hai ye farmaan.
Maa teray…
Har taraf dhoondti hain meri nigaahain tujh ko (x2).
Teri yaad aati hai har aan.
Maa teray…
Tu ne Shabbir pe rona bhi sikhaaya hai mujhay (x2).
Yaad kitnay karoon ehsaan.
Maa teray…
Maa se liptay huay rotay huay kehtay thay Hussain (x2).
Jaati ab hai ye meri jaan.
Maa teray…
Tukday Qaasim ke huay Akbar-o-Asghar na rahay (x2).
Lutt gaya sab sar-e-maidaan.
Maa teray…
Rotay rotay ye hi kehtay thay Shuja aur Shahaab (x2).
Hum huay be sar-o-saamaan.
Maa teray…
Zindagi ho gayi veeraan.
Maa teray jaanay se.
Ghar bhi ab lagta hai sunsaan.
Maa teray jaanay se.
Zindagi ho gayi veeraan.
Maa teray jaanay se.
Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction
JazakAllah for reciting it. If this archive has served your majlis, a small sadaqah jariyah keeps it free for the next one.
Related Kalaam
عابدِ بیمار کی آنکھوں سے ۔ کٹری باوا
Abid e Beemar Ki Aankhon Se - Katri Bawa
Abid e Beemar Ki Aankhon Se - Katri Bawa
Katri Bawa ·
بھیڑ بڑھتی جا رہی ہے ۔ زوار علی رضا نوشی
Bheer Bharti Ja Rahi Hai - Zawar Ali Raza Noshi
Bheer Bharti Ja Rahi Hai - Zawar Ali Raza Noshi
Anjuman-e-Guldasta-e-Jafferia ·
اچھا ہُوا صُغرا - میر حسَن میر ۲۰۱۱-۱۲
Acha Hua Sughra - Mir Hasan Mir 2011-12
Acha Hua Sughra - Mir Hasan Mir 2011-12
Mir Hasan Mir ·
السّلام و علیکَ یا سیَّدہ - ناظم پارٹی
Assalaam o Alaika Ya Sayyada - Nazim Party
Assalaam o Alaika Ya Sayyada - Nazim Party
Anjuman e Shabab Ul Momineen (Nazim Party) ·
