Raza Ka Jis Ko Bhi Jaada – Salman Jaffer
Recited by Salman Jaffer · ·views·recited·Available offline

Roman Urdu
Raza ka jis ko bhi jaada naseeb hota hai. (x2)
Usay talab se ziyada naseeb hota hai.
Raza ka jis ko bhi…
1- Dua karo woh bulaayain phir apnay rozay par. (x2)
Wahin se ye bhi iraada naseeb hota hai.
2- Milay jo hubb-e-Ali wus’at-e-nigaah ke saath. (x2)
To us ko dil bhi kushaada naseeb hota hai.
3- Sada jamaat-e-ahl-e-wila hai rozay par. (x2)
Sharaf kahan ye furaada naseeb hota hai.
4- Ye mojiza hai ke sab ko pohanch ke mash’had mein. (x2)
Qaraar hadh se ziyada naseeb hota hai.
Raza ka jis ko bhi jaada naseeb hota hai.
Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction
JazakAllah for reciting it. If this archive has served your majlis, a small sadaqah jariyah keeps it free for the next one.
Related Kalaam
ManqabatQum Ki Pehchaan – Salman Jaffer
Salman Jaffer ·
ManqabatNaam Shakl Aur Seerat – Sibt-e-Jafar
Ustad Sibte Jafar Shaheed ·
ManqabatAik Najaf Mein Mera Ali Hai- Mir Hasan Mir 2004
Mir Hasan Mir ·
ManqabatMashhad Mein – Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir ·
