Manqabat

Zehra Kay Hath Main (Kul Nazm e Kainaat Hai)

Recited by Mir Hasan Mir ·

اردو

کُل نظمِ کائنات ہے زہراؑ کے ہاتھ میں
شیرِ خدا کا ہاتھ ہے زہراؑ کے ہاتھ میں

اللّہ نے منگا لیں سرِ عرش روٹیاں
کوئی تو ایسی بات ہے زہراؑ کے ہاتھ میں

جس در سے چل رہا ہے زمانے کا ہر نظام
اُس کی مُعاشِیات ہے زہراؑ کے ہاتھ میں

بیٹی کو ساتھ لائے ہیں اس واسطے رسولؐ
نجرانیوں کی مات ہے زہراؑ کے ہاتھ میں

مالک ہے جیسے چاہیں یہ تبدیلیاں کریں
لوح و قلم دوات ہے زہراؑ کے ہاتھ میں

کہتے گئے حسینؑ یہ رومال باندھ کر
جا حُر تیری نجات ہے زہراؑ کے ہاتھ میں

ہاتھوں میں ہاتھ شَبَّر و شبّیر کے نہیں
اسلام کی حیات ہے زہراؑ کے ہاتھ میں

کیسے مٹائے کوئی عزا کی نشانیاں
حفظِ تبَرُّکات ہے زہراؑ کے ہاتھ میں

تسبیحِ فاطمہؑ نے تکلّمؔ بتا دیا
ہر ردِّ مشکلات ہے زہراؑ کے ہاتھ میں

شاعر: میر تکلم میر

Roman Urdu

Kul nazm-e-kainaat hai Zehraؑ ke haath mein
Sher-e-Khuda ka haath hai Zehraؑ ke haath mein

Allah ne manga leen sar-e-arsh rotiyaan
Koi to aisi baat hai Zehraؑ ke haath mein

Jis dar se chal raha hai zamaane ka har nizaam
Us ki ma'aashiyaat hai Zehraؑ ke haath mein

Beti ko saath laaye hain is waastey Rasoolؐ
Najraaniyon ki maat hai Zehraؑ ke haath mein

Maalik hai jaise chaahein yeh tabdeeliyaan karein
Lauh-o-qalam dawaat hai Zehraؑ ke haath mein

Kehte gaye Hussainؑ yeh roomaal baandh kar
Ja Hurr teri najaat hai Zehraؑ ke haath mein

Haathon mein haath Shabbar o Shabbir ke nahin
Islam ki hayaat hai Zehraؑ ke haath mein

Kaise mitaaye koi azaa ki nishaaniyaan
Hifz-e-tabarrukaat hai Zehraؑ ke haath mein

Tasbeeh-e-Fatimaؑ ne Takallum bata diya
Har radd-e-mushkilaat hai Zehraؑ ke haath mein

Shayar: Mir Takallum Mir

Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction

Related Kalaam