Woh Aa Raha Hai – Mir Hasan Mir 2020-21

Woh Aa Raha Hai

Mola Mola (x2)
Mola Mola (x2)

Sab thaath pada reh jaayega jab aanay waala aayega.
Ye dharti sona uglay gi ye charkh gohar barsaayega.
Kaabay ki chhat par Ghazi ka ik roz alam lehraayega.

Woh aa raha hai ke jis ke aagay kisi ka kehna nahi chaley ga.

Woh Aa raha hai ke jis ke aagay kisi ka kehna nahi chaley ga (x2).

Baghair e farmaan e Ibn e Zahra (x2)
Nizaam e dunya nahi chaley ga

Woh aa raha… (x2)

Kaheen guzaarish nahi chalay gi
Kisi ki saazish nahi chalay gi.
Karay ga aa kar woh adl qaayem.
Koi sifaarish nahi chalay gi.
Chalaayega woh Ali ka sikka (x2).
Kisi ka sikka nahi chalay ga.

Woh aa raha… (x2)

Alag na hoga koi kisi se
Namaz rozay bhi aik hongay.
Imam aayenge laut kar jab
Har ik mu’azzin ba’ghaur sunlay.
Azaan ho gi ghadeer waali.
Ye kam ziyaada nahi chalay ga.

Woh aa raha… (x2)

Anaa ke jazbon mein behnay waalon.
Hawa-e-mazhab mein rehnay waalon
Koi karay ga halaal tum ko.
Haraam maatam ko kehnay waalon.
Dukaan fatwoan ki band hongi
Kisi ka fatwa nahi chalay ga.

Woh aa raha hai… (x2)

Likha hua hai hadees mein bhi.
Zameen nijaasat se duur ho gi.
Chalay gi shamsheer Murtaza ki.
Zabaan-o-millat ki qaid kaisi.
Ali ka munkir ho chaahay jo bhi.
Zameen pe zinda nahi chale ga.

Woh aa raha… (x2)

Maraingay sab maslehat ke aadi.
Kahaan pe jaayenge ye fasaadi.
Chupaayenge kis tarhan se chehray.
Haram se ho gi ye jab manaadi.
Meri hukumat mein is zameen par
Udu-e-Zahra nahi chalay ga

Woh aa raha hai…

Fasaadi saaray bharenge aahein.
Sama ye dekhengi sab nigaahein.
Nizaam tabdeel hoga saara.
Ye masjidein hon ya baargaahein.
Woh khud chalaayenge har idaara.
Ye tera mera nahi chalay ga.

Woh aa raha… (x2)

Ye farsh-e-matam hai yaad rakhna.
Kabhi siyaasat yahan na karna.
Amaanat-e-Sayyada hain aansu.
Yahaan khayaanat se khud hi bachna.
Kahein na mehshar ke roz Zahra.
Tumhara pursa nahi chalay ga.

Woh aa raha… (x2)

Khuda-e-Waahid ka faisla hai.
Ke noor kaamil zaroor hoga.
Hazaar fitnay uthaaye dunya.
Wali ka laazim zahoor hoga.
Baghair Imam-e-zamana Akbar.
Kabhi zamaana nahi chalay ga.

Woh aa raha hai ke jis ke aagay.
Kisi ka kehna nahi chalay ga.

Check out other manqabats from Mir Hasan Mir:
https://www.abulhasanlakhani.com/category/manqabats/mir-hasan-mir-manqabats/

Mir Hasan Mir’s YouTube channel:
https://www.youtube.com/MirHasanMir

Check Also

Ghadeer Ki Baat - Mir Hasan Mir

Ghadeer Ki Baat – Mir Hasan Mir

Ghadeer Ki Baat Haan mere dostoan (x2). Haan mere dostoan ghadeer ki baat (x2). Haan …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.