Khoon Hum Bahatey Hain Jashn Hum Manate Hain
Recited by Mir Hasan Mir · ·views·recited·Available offline
اردو
خون ہم بہاتے ہیں زخم ہم سجاتے ہیں
یہ سلیقے ماتم کے اور کس کو آتے ہیں
روز برپا ہوتی ہیں محفلیں زمانے میں
ہم تو باغِ جنت میں روز آتے جاتے ہیں
جا کے دیکھ لے دُنیا آج بھی جلوسوں میں
اُن کے سَر نہیں جُھکتے جو علم اُٹھاتے ہیں
تم اگر کرو ماتم تم بھی سیکھ جاؤ گے
بخششوں کا دروازہ کیسے کھٹکھٹاتے ہیں
ذکرِ مرتضیٰؑ کر کے ہم تو چہرے پڑھ پڑھ کر
زائچے بناتے ہیں ولدیت بتاتے ہیں
آپ کو بھی مل جائے دین کا علم لیکن
آپ کا بھروسہ کیا آپ بھاگ جاتے ہیں
جائیں چاند پر ہم کیوں ہم تو اُنکے نوکر ہیں
چاند تارے خود جن کے دَر پہ آتے جاتے ہیں
شیخ جی سبب کیا ہے ہر رجب کی تیرہ کو
سب خوشی مناتے ہیں آپ بلبلاتے ہیں
ان کے سامنے سورج اِک دِیا سا لگتا ہے
نقشِ ماتمِ شہؑ کے ایسے جگمگاتے ہیں
صاحبانِ عِلم و فن عقلمند اے گوہرؔ
سَر جُھکا کے اِس دَر سے فائدے اُٹھاتے ہیں
شاعر: گوہر جارچوی
Roman Urdu
Khoon hum bahaate hain zakham hum sajaate hain
Yeh saleeqe maatam ke aur kis ko aate hain
Roz barpa hoti hain mehfilein zamaane mein
Hum to baagh-e-jannat mein roz aate jaate hain
Ja ke dekh le duniya aaj bhi julooson mein
Un ke sar nahi jhukte jo alam uthaate hain
Tum agar karo maatam tum bhi seekh jaao ge
Bakhshishon ka darwaaza kaise khatkhataate hain
Zikr-e-Murtazaؑ kar ke hum to chehre parh parh kar
Zaaiche banaate hain waldiyat bataate hain
Aap ko bhi mil jaaye deen ka ilm lekin
Aap ka bharosa kya aap bhaag jaate hain
Jaayein chaand par hum kyun hum to unke naukar hain
Chaand taare khud jin ke dar pe aate jaate hain
Sheikh ji sabab kya hai har Rajab ki terah ko
Sab khushi manaate hain aap bilbilaate hain
In ke saamne sooraj ik diya sa lagta hai
Naqsh-e-maatam-e-Shahؑ ke aise jagmagaate hain
Saahibaan-e-ilm-o-fun aqalmand aye Gohar
Sar jhuka ke is dar se faaide uthaate hain
Shayar: Gohar Jarchavi
Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction
JazakAllah for reciting it. If this archive has served your majlis, a small sadaqah jariyah keeps it free for the next one.
Related Kalaam
ManqabatMimber Ghadeer-e-Khum Ka – Mir Hasan Mir 2010
Mir Hasan Mir ·
Manqabat▶ videoGhadeer Ki Baat – Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir ·
ManqabatJab Ayaa e Baligh Teray – Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir ·
ManqabatSuraj Ye Keh Ke Deen Ka – Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir ·
