Na Khusravi Ke Liye Hai - Mir Hasan Mir
Recited by Mir Hasan Mir · ·views·recited·Available offline

اردو
نہ خسروی کے لیے ہے نہ افسری کے لیے
زُبان وقف ہے بس مدحِ عسکریؑ کے لیے
اگر نہ ملتی اُنہیں نورِ عسکریؑ کی زکات
ترستے چاند ستارے بھی روشنی کے لیے
گِرایا آپ کا روضہ جنہوں نے اۓ مولاؑ
شکار پہلے بنینگے وہ آخری کے لیے
امام پھر سے بلائیں مجھے بھی سامرّہ
ترس رہی ہے جبیں کب سے بندگی کے لیے
میرے امامؑ کا ہمسر وہ کیسے لائینگے بھلا
ملا نہ جب کوئی قنبر کی ہمسری کے لیے
یہ بولا دار پہ میثم میں کیسے رک جاؤں
زُبان دی ہے مجھے جب علیؑ علیؑ کے لیے
مجھے ہے فخر کہ میں ان کے در کا نوکر ہوں
فرشتے خود جہاں آتے ہیں نوکری کے لیے
نہ خسروی کے لیے ہے نہ افسری کے لیے
زباں باقی بس مدحِ عسکریؑ کے لیے
Roman Urdu
Na khusravi ke liye hai na afsari ke liye
Zubaan waqf hai bas madh-e-Askariؑ ke liye
Agar na milti unhein noor-e-Askariؑ ki zakaat
Taraste chaand sitaare bhi roshni ke liye
Giraaya aap ka roza jinhon ne aye Maulaؑ
Shikaar pehle baneinge woh aakhiri ke liye
Imam phir se bulaayein mujhe bhi Saamarrah
Taras rahi hai jabeen kab se bandagi ke liye
Merey Imamؑ ka hamsar woh kaise laayenge bhala
Mila na jab koi Qambar ki hamsari ke liye
Yeh bola daar pe Maisam main kaise ruk jaaon
Zubaan di hai mujhe jab Aliؑ Aliؑ ke liye
Mujhe hai fakhr ke main un ke dar ka naukar hoon
Farishte khud jahaan aate hain naukari ke liye
Na khusravi ke liye hai na afsari ke liye
Zubaan baaqi bas madh-e-Askariؑ ke liye
Spotted a mistake in this kalaam — a wrong line, reciter or spelling? Suggest a correction
JazakAllah for reciting it. If this archive has served your majlis, a small sadaqah jariyah keeps it free for the next one.
Related Kalaam
خون ہم بہاتے ہیں جشن ہم مناتے ہیں
Khoon Hum Bahatey Hain Jashn Hum Manate Hain
Khoon Hum Bahatey Hain Jashn Hum Manate Hain
Mir Hasan Mir ·
ManqabatMimber Ghadeer-e-Khum Ka – Mir Hasan Mir 2010
Mir Hasan Mir ·
ManqabatSun Lein Wo Jin Ke Liye – Mir Hasan Mir 2004
Mir Hasan Mir ·
ManqabatHussain Hai Na – Mir Hasan Mir 2021-22
Mir Hasan Mir ·
